donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazal Tabish
Poet/Writer
--: Biography of Fazal Tabish :--

 

Name:-FazalTabish Birth:-5 August 1933 Bhopal Death:-10 November 1995 Fazal Tabish kisi ek khaas vichardhaha ke saath nahi hain wo zindagi ke saath jude hain wo banaye hue raaston se katra kar nikal jaate hain unki shayari tajurbon ki den hai.

Fazal Tabish ki shayari ka majmuan (book)" Roshni kis jagha se kali hai" ek novel "Wo Aadmi" do drame "Dara hua aadmi" aur"Akahre ke bahar se"hain.Unka pehla stage drama "Bila Unvan" Central Government ministry of S.R.C.A. ne pehla enaam diya. "Dara hua aadmi" aur "Akahre ke bahar se" stage drame hindi mein bhi publish huye hain . In dramon ke Shri Alaknandan ne stage shows kiye. Shri Rajendra Shukl ne "Dara hua aadmi" direct kiya. Premchand ke novel "Karmbhumi" ko dramein ka roop diya aur usey Shri B.V. Karant ne direct kiya. Danish drama "The judge" ka translation urdu mein kiya yeh darama Bharat Bhawan mein 20-25 baar pesh kiya gaya.Ek Tele Film "Urdu hai jiska naam" Shri Raam Tiwari ne Bhopal Durdarshan ke liye bnayi. Mani Kaul ki Film "Satah se uthta aadmi" aur Kumar Shahni ki film "Khyaal Gaatha" mein kaam kiya. Merchant-Ivory ke liye Ismail Merchant ki direct k hui film "Muhaafiz" mein location organiser ke saath script mein madad ki aur kaam bhi kiya.Hindi ke 50 kaviyon k kavitaon ko Urdu lipi mein tranlate kiya. "Jharokha" naam se yeh kitab Madhay Pradesh Urdu Academy ne publish ki.

 

Fazal Tabish, Urdu zubaan ka baaNkaa shaair thaa. This is often you get to hear about Fazal Sahab. I had heard a lot about him especially his personality and bohemian lifestyle.

In my school days I knew him through his son, who was our teacher. But I never met him. It was only after his death that I read some of his poetry and was instantly drawn towards it. Fazal's poetry is different in the sense that all his ghazals and Nazms stand out amongst hundreds of contemporary poets of his generation.


shakhsiyat hai ki sirf gaalii hai
jaane kis shakhs ne uchhaalii hai

shahar dr shahar haath ugte haiN
kuchh to hai jo har ek savaalii hai

jo bhii haath aaye TuuT kar chaaho
haar ke yah ravish nikaalii hai

meer kaa dil kahaaN se laaoge
Khuun kii buund to bachaa lii hai

jism meN bhii utar ke dekh liyaa
haath Khaalii thaa ab bhii khaalii hai

resha resha udheD kar dekho
roshnii kis jagah se kaalii hai

din ne chehraa kharoNch Daalaa thaa
jab to suuraj pe Khaak Daalii hai



A group of Qawwals rendered it at a function a few years back. They sung it differently and started with the last two couplets but had a magical affect on the audience. Of course, his sexually explicit couplets once floated across the Urdu world:

chaahte the aazmuudaa aurat ka visaal
khair jaisii bhii haath aaye, nibhaayaa chaahiye...
.(aazmuuda=experienced)

But it is Nazm where Fazal Tabish reveals his brilliance. Never in the history of Urdu poetry, a poet had treated the subject of sex like Fazal did. Amongst the voices of Nazm in the post-Progressive movement era, Shaharyar, Nida Fazli, Shamsur Rahman Faruqi, Ameeq Hanafi are counted but I surely consider Fazal amongst them. His nazm for another day.

 
You are Visitor Number : 3260