donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
AAH

Go ham se mile tum na to kuchh ham na mar gaye

Kahne ko baat rah gayee aur din guzar gaye

Author : QAAEM

Dil-o-dimagh ko ro loo_nga aah kar loo_nga,

tumhare ishq mai_n sab kuch tabah kar loo_nga.

Author : Akhter Sheerani

Deed -e-Laila ke lieye deeda-e-Majnu_n hai zaroor,

Meri aankho_n se koi dekhe tamaasha tera.

Author : Unknown

Ik tiri deed chhin gai mujh Se,

Warna duniya mei_n kya nahi_n baqi.

Author : Faiz

Maana ke teri deed ke qaabil nahi_n hoo_n mai_n,

Tu mera shauq dekh, mera intezaar dekh.

Author : Iqbal

Aah jo dil se nikaali jaaegi,

Kya samajhte ho ke khali jaaegi.

Author : Akber Allahabadi

Idhar se bhi siwa hai kuchh udhar ki majboori,

Hum ne aah tau ki, un se aah bhi na hui.

Author : Jigar

Aah hoti mere lab par na yeh naala hota,

Ek bhi tu ne jo armaan nikaala hota.

Author : Rasa

Aah ka kis ne asar dekha hai,

Hum bhi ik apni hawa baandhte hai_n.

Author : Ghalib

Meri aah ka tum asar dekh lena,

Woh aaeinge thaame jigar, dekh lena.

Author : Dagh

Behtar tau yehi hai hansta rah, tu koh hai, khud ko kaah na kar,

Yeh ban na pare tau kam se kam khamosh he rah, aur aah na kar.

Author : Josh

Kaasa-e-chashm le ke joo_n nargis,

Hum ne deedaar ki gadaai ki.

Author : Mir Taqi Mir

Nazzare ko yeh jumbishe-mizhgaan bhi baar hai,

Nargis ki aankh se tujhe dekha kare koi.

Author : Iqbal

Dil ko niaaz-e-hasrat-e-deedaar kar chuke,

Dekha tau hum mei_n taaqat-e-deedaar bhi nahi_n.

Author : Ghalib

Aah ko chahieye ik umr asar hone tak,

Kaun jeeta hai tiri zulf ke sar hone tak.

Author : Ghalib

 
Total Visit on AAH : 1291