donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
AANKHEN

Unki aankho_n mei_n be-rukhi ka rang,

mere hotho_n pe iltija ki lahr.

Author : Kalim Akhtar

 Kaun deta hai dar-e-khwab pe dastak shab-bhar

 kiska chehra meri aankho_n mei_n basaa rahta hai

Author : Kalim Akhtar

 Abhi to aankh ladi hai, zara thahar jaao

 haseen raat padi hai, zara thahar jaao

Author : Kalim Akhtar

 Aankho_n mei_n uski yaad kee tasweer-e-gham na ho,

 aisa hua nahi_n, kabhi aisa hua nahi_n.

Author : Kalim Akhtar

 Takhaiyyul kiya kisi shaaheen kee bedaar aankhe_n hain,

 ki band aankho_n se Akhtar kiya nahi_n hum dekh lete hai_n.

Author : Kalim Akhtar

 Khwabon mei_n raat aaya tha kis dasht se ghazaal

 aankhe_n badi haseen thee_n, chehra bada buland

Author : Kalim Akhtar

Kis jurm mai chhini gayee_n mujhse meri aankhai_n

Unn mai to koi khwaab sajaya bhi nahee_n tha

Author : Kausar Samreen

Meri sanse_n shaam ki bheegi hawa mei_n ghul gayi

Band ki aankhe_n to maazi hi ki kitaabei_n ghul gayi

Author : Malika Naseem

Kaya hei_n yeah loag apnay shajar aap kaat kar

Detay hei_n phir duhaaye keh saya karay koyee

Jo tera bakhat hai nahi khulti hai uss ki aankh

Laakh asmaan sayroshni laya karay koyee

Author : Obaidullah Aleem

Laakh ummeed khilaati rahe aankho_n mei_n gulaab,

Iss samundar ko gulistaan nahi_n hona hai.

Author : Shahid Jameel

Ek deewaar-ke dono-taraf,

Do judwaa_n bahne_n rahti hai_n,

Paas-paas-mei_n rahte-huye bhi,

Doori-ka dukh sahti hai_n,

Apni iss haalat-per dono,

Ha_ns deti hai_n Ro-leti hai_n.

Author : Mohammad Alvi

Uss mulk ki sarhad ko koi chhu nahi_n sakta,

Jis mulk ki sarhad ki nigehban hai_n aa_nkhe_n.

Author : Sahir Ludhianvi

Honto_n-se muskuraate-huye ghum-ko kyaa pataa,

Aankho_n-ne aansuo_n-ko sambhaala Hai kis tarah.

Author : Shahid Jameel

Jis ke deede ka gir gaya paani,

Us ki aa_nkho_n se mat mila aa_nkhe_n,

Bikhre ha suu hai_n jalwae jaane_n,

Unke deedar se basa aa_nkhe_n.

Author : Dr.Monazir Aashiq Harganvi

Jaam sharbat hai'n tumhaari aankhe_n,

Khud wazaahat hai_n tumhaari aankhe_n

Mai tumhe_n hosh may aaloo_n to kahoo_n,

Kia qayamat hai_n tumhaari aankhe_n.

Mai tumhe-n hosh may aaloo_n to kahoo_n

Kia qayamat hai_n tumhaari aankhe_n

Author : Aslam Rahi

Apni aankho_n me basaa lo mujh ko,

Khoobsoorat hai_n tumhaari aankhe_n.

Author : Aslam Rahi,Pakistan

Mai tumhe_n hosh may aaloo_n to kahoo_n,

Kia qayamat hai_n tumhaari aankhe_n.

Author : Aslam Rahi

Us ki aa_nkh mei_n nam kab hoga,

Jabr ka mausam kam kab hoga,

Duniya bhar ke sar ko jhuka kar

Us ka sar bhii kham kab hoga

Author : Syed Saghir Ahmad Jafri

Paas hote to koi shararat karte,

Tujhe lay kar baanho_n mei_n muhabbat karte..

Dekhtay teri aankho_n mei_n neend ka khumaar,

Apni khoyi hui neendo_n ki shikayat karte.

Author : Shahid Awan

Kabhi dharti pe sitaro_n ka gumaa_n hota hai,

Kabhi aakash pe kharo_n ka gumaa_n hota hai,

Teri aankhe_n kabhi sagar ki tarah lagti hai_n,

Aur kabhi in pe kinaro_n ka gumaa_n hota hai.

Author : Fakhira Batool

Har aankh ye chaahe hai ke dekhe usko

Dhekhe se jia jaae he phr kia kije

Aalaa he bahut Zoqe samaa-at jinka

Kam unse sunaa jaae he phir kia kije

Author : Aslam Rahi,Pakistan

Khanjar jo gawahi hai mere qatl ki us par,

Apni hi ungaliyo_n ke nisha_n dekh raha hoo_n,

Sab aap ki ankho_n se jaha_n dekh rahe hai_n,

Mai aap ki ankho_n mai_n jaha dekh raha hoo_n.

Author : Bal Swaroop Rahi

Qatil ki is ada pe bhi qurban jayie,

Khud de ke zahar aankkho_n mai_n aanso_n bhi bhar liye,

Thi kaun si Khata ke mili jis ki ye saza,

Humne to umar bhar tere naqsh-e-qadam liye.

Author : Azra Adil Rashid

Hum jante hai_n dil mai_n tumhare nahi hai_n hum,

Jo Khat tumhari aankho_n mai_n the hum ne parh liye.

Author : Azra Adil Rashid

Ankh parhti hai kahee_n pao_n kahee_n parhta hai,

sab ki hai un ko Khabar apni Khabar kuch bhee nahee.

Author : Alam Tab Tashna

Us Ki Jam-E-Jam Ankhe_n Shisha-E-Badan Mera,

Us Ki Band Mutthi Mei_n Sara Bankpan Mera.

Author : Abdullah Kamal

Ab yai ankhe_n kisi taskin se tabinda nahee_n,

Mai_n ne rafta se yai jana hai ke ainda nahee_n,

Dil yai wira_n dam-e-isa hai gayai waqt ki yad,

Kaun sa alam ka yai rafta hai ke zinda .

Author : Zia Jullundhary

Tum Ankho_n Se Door Ho, Hui Neend Ankho_n Se Door

mere sathi Gham ki chot se hua dil ka shisha choor

mujhe shikava hai taqadir se nahi tum se koi

Gila mujhe lakar yu_n pardes mei_n mera sab kuch cheen liya

Author : Aziz Kashmiri

Meri aankho_n ko agar band bhi kar degi thakan

Taza dam ho ke teri aankho_n se jhakoo_nga mai_n!

Author : Perwez Shahidi

Khilna kam kam kali ne seekha hai,

Teri aankho_n ki neem khwabi Se.

Author : Mir Taqi Mir

Kin neendo_n ab tu soti hai, ai chashm-e-giriya naak,

Mizhgaan tau khol, shahr ho sailaab le gaya.

Author : Mir Taqi Mir

Chashm-e-najm-e-sapahir jhapke hai,

Sadqe is ankhriaa_n laraane ke.

Author : Mir Taqi Mir

Ek sab aag, ek sab paani,

Deeda-o-dil azaab hai_n dono_n.

Author : Mir Taqi Mir

Aalooda chashm mei_n na hui surma se nigah,

Dekha jahaa_n se saaf hi ahl-e-safa chale.

Author : Zauq

Fani, jisme_n aansoo kya, dil ke lahoo ka kaal na tha,

Haae woh aankh ab paani ki do boondo_n ko tarsati hai

Author : Fani

Jo chashm ke be nam ho, woh ho koor tau behtar,

Jo dil ke ho be daagh, jal jaae tau achha.

Author : Zauq

Din mei_n hum ho dekhne waalo,

apne apne hai_n auqaat,

Jaao na tum in khushk aankho_n par,

hum raato_n ko ro le_n Hai_n.

Author : Firaq Gorakhpuri

Aankhe_n miri talwo_n se woh mal jaae tau achha,

Hai hasrat-e_pa-bos, nikal jaae tau achha.

Author : Zauq

Mir, un neem baaz aankho_n mei_n,

Saari masti sharaab ki si hai

Author : Mir Taqi Mir

Ho na beena tau farq phir kya hai,

Chashm-e-insaan-o-chashm-e-nargis mei_n.

Author : Hali

Mai_n tau raaz-e-dil chhipaaoo_n, par chhipa rahne bhi de,

Jaan ki dushman yeh zaalim aankh lalchaai hui.

Author : Ameer Minai

Aankh ki tasweer sar naama pe kheinchi hai ke ta,

Us pe khul jaae ke rnujhko hasrat-e-deedaar hai.

Author : Mirza Ghalib

Ashk-e-tar, qatra-e-khoo_n, lakht-eJigar, paara-e-dil,

Ek se ek adoo aa_nkh se behtar nikla.

Author : Mir Taqi Mir

Ashk-e-tar, qatra-e-khoo_n, lakht-eJigar, paara-e-dil,

Ek se ek adoo aa_nkh se behtar nikla.

Author : Mir Taqi Mir

Meri aankho_n ko agar band bhi kar degi thakan,

Taza dam ho ke teri aankho_n se jhakoo_nga mai_n.

Author : Perwez Shahidi

 
Total Visit on AANKHEN : 2218