donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
AQL

Ho aql ki justajoo to deevana bano ,

Gardish ki talaash hai to paymana bano

Author : YAAS BIHARI

Guzar ja aql se aage, ke yeh noor,

Chiragh-e-rah hai, manzil nahi_n hai.

Author : Allama Iqbal

Jo aql ke maare the apne bhi na kaam aae,

Deewaano_n ne duniya ki taqdeer badal daali.

Author : Payam

Hamaare kaam aakhir aa gaya josh-e-janoo_n, warna,

Khirad ki rahbari mei_n hum Khuda jaane kahaa_n jaate.

Author : Shariq Bhagalpuri

Aagahi daam-e-shuneedan jisqadar chaahe bichhaaey,

Mudaa anqa hai apne aalam-e-taqreer ka

Author : Zauq

Aagahi daam-e-shuneedan jisqadar chaahe bichhaaey,

Mudaa anqa hai apne aalam-e-taqreer ka

Author : Ghalib

Umrei_n beetei_n, sadiaa_n guzree_n,

Hai wohi ab tak aql ka bachpan.

Author : Jigar

Umrei_n beetei_n, sadiaa_n guzree_n,

AHai wohi ab tak aql ka bachpan.

Author : Jigar

Be khatar kood para aatish-e-namrood mei_n ishq,

Aql hai mahw-e-tamashaa-e-lab-e-baam abhi.

Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on AQL : 1346