donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
BARSAAT
Barse thal-per doongda,hari-bhari ho ghaas,
Barse mujh per mohni,kumhlaaye har aas.
Author : T.S.Haroon

Iss-baar koee shehr mei'n chhappar nahi'n apna,
Iss-baar bade-zor ki barsaat rahegi.
Author : Shahid Jameel

Woh kaali kaali badliaa’n, ufaq pe ho gaie’n ayaa’n, 
Woh ik hajoom-e-maikashaa’n hai soo-e-maikada rawaa’n.
Author : Hafeez

Woh baam pe apne hans raha hai, mai’n raah mei’n ghum se ro raha hoo’n,
Ajab hai barsaat ka sama yeh, falak pe bijli, zamee’n pe baaraa’n.
Author : Mahir-ul-Qadri

Garmi-o-sardi ke mit jaate hai’n sab jis se marz,
Lal lal ek aisi nikli hai dawa barsaat ki.
						Hasrat
Author : Hasrat

Shaam-e-sar ma dilruba tha, subah-e-garma khush numa,
Dilruba tar, khush numa tar hai fiza barsaat ki.
Author : Hasrat

Moojib-e-soz-o-saroor-o-baais -e-aish-o-nishat,
Taazgi bakhsh-e-dil-o-jaa’n hai hawa barsaat ki. 
Author : Hasrat

Hawa pe daurta hai is tarah yeh abr-e-seah,
Ke jaise jaae koi feel -e-mast be zanjeer
Author : Zauq

Abr-e-neesaa’n yeh tunak bakhshi-e-shabnam kab tak,
Mere kohsaar ke laale hai’n tahi jaam abhi.
Author : Allama Iqbal

Hai hawa mei’n sharaab ki taasir,
Baada noshi hai baad-e-paimaai.
Author : Mirza Ghalib

Ghir ke aaj barsi hai ghata barsaat ki,
Maikado’n mei’n kab se hoti thi dua barsaat ki.
Author : Hasrat

Sabza ko jab kahi’n jagah na mili,
Ban gaya roo-e-aab par kaai.
Author : Mirza Ghalib

Ghata bhi chhai hai, fasl-e-bahaar hai, Saqi
 Ab iske baad tujhe ikhtiar hai, saqi.
Author : Nasikh

 Ilahi khair ho, kaali ghataao’n ne kiya maatam,
 Suraahi maikada mei’n hichkiaa’n le leke roti hai.
Author : Maikash Kashmiri

 
Total Visit on BARSAAT : 1098