donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
BAZM
Nuun-e-gunaa ka wazn aapne adaa kiyaa
         Haal-e-lafz-e-nuun-e-muqaffaa dikhaa diyaa
 
        Chandra Shekhar Pandey Afroz
Author : Chandra Shekhar Pandey Afroz

Muddai mujhko khaD.e saaf bura kahte haiN

chupke tum sunte ho baiThe ise kya kahte haiN

Author : Meer

Baat karni tak tumheN aati na thee

Ye hamaare saamne ki baat hai

Author : Dagh Dehlavi

Milne ki aarzo karna safar ki justajo karna

Jo tum mayos ho jao to mujh se guftago karna

Ye aksar ho bi jata hay ke koi kho bi jata hay

Muqadar ko satao ge to phir ye so bhi jata hay

Aghar tum haunsla rakho wafa ka silsila rakho

Jo tum se pyaar kar bethe to us se raabta rakho

Author : Taha Chowdhry

aa gayii fasl-e-sukuuN chaak girebaaN waaloN

sil gaye hoNth koii zakhm sile yaa na sile

dostoN bazm sajaao ke bahaar aayii hai

khil gaye zakhm koii phuul khile yaa na khile

Author : Faiz Ahmad Faiz

Bazm kaisi ke kahee_n zikr tera-hi na chale, 

Pattiya_n hilne-ko ho_n aur hawaa-hi na chale.

Author : Shahid Jameel

Jab se hum tabah ho gaye,

Tum jahan panah ho gaye,

Husn par nikhar aa gaya

Aine siyah ho gaye,

Aandhiyo_n ko kuch pata nahi,

Hum bhi gard-e-rah ho gaye,

Dushmano_n ko chitthiya_n likho,

Dost Khair-Khwah ho gaye .

Author : Bekal Utsahi

Mai_n ne kaha ke bazm-e-naaz chaahiey ghair se tahi,

Sun ke sitam zareef ne mujh ko utha diya ke yoo_n.

Author : Mirza Ghalib

Yaad theei_n hum ko bhi ranga rang bazm aaraaeaa_n,

Lekin ab naqsh-o-nigar-e-taaq-e-nishaa_n ho gaye_n.

Author : Mirza Ghalib

Us bazm mei_n banti nahi_n mujh ko haya kieye,

Baitha raha agarche ishaare hua kieye

Author : Mirza Ghalib

Ho ke be aabroo jis bazm se nikle Aajiz

Phir isi bazm me_n lekar dile diwana chala

Author : Kalim Aajiz

Yeh maikhana hai, bazm-e-Jam nahi_n hai,

Yahaa_n koi kisi se kam nahi_n hai.

Author : Jigar

Boo-e-gul, nala-e-dil, dood-e-chiragh-e-mahfil,

Jo teri bazm se nikla, pareeshaa_n nikia

Author : Mirza Ghalib

Waa_n woh gharoor-e-azz-o-naaz, yaa_n yeh hijaab-e-paas-e waza,

Raah mei_n hum milei_n kahaa_n, bazam mei_n woh bulaae kyo_n.

Author : Mirza Ghalib

Door, chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se, wah, wah, 

Naghma ho jaata hai gar, naala mira waa_n jaae hai.

Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on BAZM : 1049