donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
BE-BASI

جو مرے حال پہ ہنستا ہوگا اس کا

غم مجھ سے زیادہ ہوگا

مرزا عزیز جاوید

Author : Mirza Aziz Javed

Hamm jiss k hawaley se huwe shahar mei_n badnaam

Uss shakhs ko ham ne kabhi dekha bhi nahee_n tha

Author : Kausar Samreen

Hosh aaye bhi to kyoo_n kar tere deewaane ko

Ek jaata hai to do aate hai_n samjhaane ko

Author : Hushiyaar Merruti

Ae meri umr ke maazoor guzarte lamho_n, 

Tum ne jaate huye murh kar kabhi dekha bhi hai.

Author : Sadia Raushan Siddiqui

Ae shahr-e-sitam pesha bata kis ki sada doo_n, 

Ab kaun raha hai jise paigham-e-wafa doo_n.

Author : Mukhtar ul-Nisa Begum Gulnaar Aafreen

Halaat ke maare to sambhal jaate hai aksar

Ehsaas ke maaro_n ko sambhalte nahi dekha

Author : Kishwar Ara Shabnam

Ye shab-e-firaq ye bebasi hai qadam qadam pe udasiya_n ,

Mera sath koi na de saka meri hasratai_n hai dhua_n dhua_n,

Mai tarap tarap ke jiya to kya, mere Khwab mujh se bichar gaye,

Mai udas ghar ki sada sahi mujhe de na koi tasalliya_n.

Author : Hasan Rizvi

Be-basi jurm hai hosla jurm hai,

Zindagi teri ik ik adaa jurm hai,

Ai sanam tere barey mai_n kuch soch kar,

apnay barey mai_n kuch sochna jurm hai.

Author : Ayaz Jhanswi

Yaa_n ke saped-o-seah mei_n hum ko dakhal Jo hai so itna hai,

Raat ko ro ro subah kiya, aur din ko joo_n too_n shaam kiya

Author : Mir Taqi Mir

Nahaq hum majbooro_n par yeh tuhmat hai mukhtaari ki,

Chaahte hai_n so aap kare_n hai, hum ko abas badnaam kiya.

Author : Mir Taqi Mir

Darya ko apni mauj ki tughiaanio_n se kaam

Kishti kisi ki paar ho, ya darmiai_n rahe.

Author : Hali

Laai hayaat aae, qaza le chali, chale,

Apni khushi na aae, na apni khushi chale.

Author : Zauq

Hamee_n se rang-e-gulistaa_n, hamee_n se rang-e-bahaar,

Hamee_n ko nazm-e-gulistaa_n pe ikhteaar nahi_n.

Author : Sahir

Faisle saare usi ke hai_n hamaari baabat,

Ikhtiaar apna bas itna ke khabar mei_n rahna.

Author : Parveen Shakir

Sab ikhtiaar mera tuj haat hai peara,

Jis haal so_n rakhega, hai o khushi hamara.

Author : Quli Qutub Shah

 
Total Visit on BE-BASI : 965