donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
BE-KHUDI

 Be- khudi mei_n oas kee boondo_n ko mai_n chunta raha

 karb ke mausam kee thee shoala fashani sammne

Author : Kalim Akhtar

دامن ہو اگر چاک تو سی لیتے ہیں

جو پینا پڑے زہر تو پی لیتے ہیں

ہوتے ہیں جواں حوصلے جن کے مش

Author : Mushtaq Darbhangwi

Band SheeshoN ke pare dekh, dareechoN ke udhar

Sabz peDoN pe, ghani shaakhoN pe, phooloN pe wahaaN

Kaise chupchaap barasta hai musalsal paani

Kitni aawaazeN haiN, ye log haiN, baateN haiN magar

Zehan ke peechhe kisi aur hi satah pe kahiN

Jaise chupchaap barasta hai tasavvur tera

Author : GULZAR

Hum bhi kuchh khush nahiN wafaa karke

Tumne achha kiya nibah na ki

Author : Momin

Naye puraane ghao hamare sab khud hi bhar jayenge Kuch 

Ayaa_n ek baar woh puche_n haal tumhara kaisa hai

Author : Rasheeda Ayaan

Kisi se ham mukhatib ho koi ho ru-ba-ru apne

Tum hi ko dekhte hai aur tum se hi baat hoti hai

Author : Noor Jahan Sarwat

Be-khudi be-sabab nahi_n Ghalib,

Kuchh toh hai,jiski parda-daari hai.

Author : Mirza Ghalib

Fikr-e-mahboob,ghum-e-duniya, khayaal-e-masjood,

Be-khudi aise masaayel-se bari rahti hai.

Author : Shahid Jameel

Kheto_n ka harapan mai kaha_n dekh raha hoo_n,

Mai rel ke injan ka dhua_n dekh raha hoo_n,

Fursat hai kaha_n aap ke baghat mai_n

Tahloo_n, Mai apne ujarne ka sama dekh raha hoo_n.

Author : Bal Swaroop Rahi

Kaam aa saki na apni wafaai_n to kya karai_n,

Ik bewafa ko bhool na jaaye to kya karai_n,

Mujh ko ye etaraf, duaoo’n mai_n hai asar,

Jaaye na arsh par jo, duaai_n to kya karai_n.

Author : Akhter Sheerani

Be-khudi be sabab nahi_n, Ghalib,

Kuchh tau hai jiski parda daari hai.

Author : Mirza Ghalib

Hum wahaa_n hai_n jahaa_n se hum ko bhi,

Kuchh hamaari khabar nahi_n aati.

Author : Mirza Ghalib

Be-khudi le gai kahaa_n mujhko,

Der se intezaar hai apna.

Author : Mirza Ghalib

Raha karte hai_n qaid-e-hosh mei_n, ai waae nakaami,

Woh dasht-e-khud-faraamoshi ke chakkar yaad aate hai_n.

Author : Hasrat

Allah rey be-khudi, mujhe kuchh soojhta nahi_n,

Woh saamne khare hai_n, ke aalam hai khwab ka.

Author : Maikash Kashmiri

Raha karte hai_n qaid-e-hosh mei_n, ai waae nakaami,

Woh dasht-e-khud-faraamoshi ke chakkar yaad aate hai_n.

Author : Hasrat

Phir be-khudi mei_n bhool gaya raah-e-koo-e-yaar,

Jaata wagarna ek din apni khabar ko mai_n.

Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on BE-KHUDI : 958