donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
BE-SABATI

SAMREEN wahi shakhs hamai_n chhorh chala hai

Jiska ka bitchar ne ka irada bhi nahee_n tha

Author : Kausar Samreen

Mom se rishte haiN garmi se pighal jaayeNge

Dhoop ke shahar maiN yaaroN yuN tamaasha na karo

Author : Khursheed Ahmad Jaami

Yun hi sa tha koi jisne mujhe miTa

Daala na koi noor ka putla na koi zohra-zabiN

Author : Firaq Gorakhpuri

Ae ahd-e-wafa kyo_n yaad aaya, 

Mujhe Gulnaar hairat ho rahi hai

Author : Mukhtar ul-Nisa Begum Gulnaar Aafreen

Chup Rahoo_n tu Azaab Aata Hai

Bolta Hoo_n Kharaab Hota hoo_n

Author : Obaidullah Aleem

چلو اچھا ہوا کام آ گئی دیوانگی اپنی

وگرنہ ہم زمانے بھر کو سمجھا نے کہاں جاتے

Author : Khatir Ghaznavi

Saa-ns aati hai saa-ns jaati hai,

Apni hasti yahi bataa ti hai,

Phool baasi dikhaa dikhaa ke ha-me,

Be-sabaati ke dukh sunaati hai.

Author : Aslam Rahi,Pakistan

Log kyu_n bas ke ujarhte hai_n kabhi so_ncha hai,

Kis liye jaa_n se guzarte hai_n kabhi so_ncha hai,

Kaise palko_n ki larazti hui mundero_n per,

Saikrho_n deep chamakte hai_n kabhi so_ncha hai.

Author : Fakhira Batool

Sab He Ko Sab Kuch Nahi_n

Milta Samundar Ki Har Lehar Ko

Sahil Nahi_n Milta Yeh Dil Walo_n Ki Dunya Hay

Dost Kisi Ko Dil Nahi_n MiltaTo Koi Dil Se Nahi Milta

Author : Shani Ahmad

Takra hi gai meri nazar un ki nazar se

dhona hi para hath mujhe qalb-o-jigar se

Author : FAIYAZ HASHMI

Ana ki jang mei_n ham jeet to gaye lekin

Phir us ke bad bahut der tak nidhal rahe

Author : FARHAT ABBAS SHAH

Dekha to mera saaya bhi mujh say judaa mila,

Socha to her kisi say mera silsila mila,

Shahar-e-wafa mai_n ab kisay ahal-e-wafa kahai_n,

Hum say galey mila to woh hi bewafa mila.

Author : Ayaz Jhanswi

Kachi diwar hoo_n Thokar na lagana mujh ko,

apni nazro_n mei_n basa kar na girana mujh ko.

Author : Asrar Ansari

Mir, jungle pare hai_n aaj yahaa_n,

Log kya kya yahi_n kal the baste.

Author : Mir Taqi Mir

Na gor-e-Sikander, na hai qabar-e-Dara,

Mite naameo_n he nishaa_n kaise kaise.

Author : Aatish

Lagta nahin hai ji mira ujre dyaar mei_n,

Kis ki bani hai aalam-e-na-paaedaar mei_n.

Author : Bahadur Shah Zafar

Kis hasti-e-mauhoom pe naazaa_n hai tu ai yaar

Kuchh apne shab-o-roz ke hai tujhko khabar bhi.

Author : Sauda

Nai gul ko hai sabaat, na hum ko hai aitbaar,

Kis baat par chaman hawas-e-rang-o-boo kare_n.

Author : Dard

Hasti apni habaab ki si hai,

Yeh numaaish suraab ki si hai.

Author : Mir Taqi Mir

Le rang-e-be-sabaati yeh gulistaa_n banaaya,

Bulbul ne kya samjh kar yahaa_n aashia_n banaaya.

Author : Mir Taqi Mir

Yak nazar besh nahi_n fursat-e-hasti, ghaafil,

Garmi-e-bazam hai ik raqs-e-sharar hone tak.

Author : Mirza Ghalib

Har koi is jahaa_n mei_n das roz,

Apni naubat bajaae jaata hai.

Author : Mir Taqi Mir

Jahaan weerana hai pahle kabhi aabaad yahaan ghar the,

Shaghaal ab hai_n yahaa_n baste, kabhi baste bashar yahaa_n the

Author : Zafar

Har koi is jahaa_n mei_n das roz,

Apni naubat bajaae jaata hai.

Author : Mir Taqi Mir

Sakoo_n mahaal hai qudrat he kaarkhaane mei_n,

Sabaat ik taghayyur ko hai zamaane mei_n. Iqbal

Author : Allama Iqbal

Maujei_n kare hai ab tau bahr-e-jhaa_n mei_n tu,

Jaane ga baad-e-marg ke aalam habaab tha.

Author : Mir Taqi Mir

Paai hai baagh-e-jahaa_n mei_n hum ne gul ki zindagi,

Rang ban ke aae hai_n, boo ban ke urh jaae_nge.

Author : Arzoo Lucknavi

Sharaar-o-barq ki si bhi nahi_n yahaa_n fursat-e-hasti,

Falak ne hum ko saunpa kaam jo kuchh tha shataabi ka.

Author : Dard

Har qadam kahta hai tu aaya hai jaane ke lieye,

Manzil-e-hasti nahi_n hai dil lagaane ke lieye.

Author : Akber Allahabadi

Aa jaae_n hum nazar jo koi dam bahut hai yahaa_n,

Muhlat basaan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yahaa_n.

Author : Mir Taqi Mir

Nahi_n begaanagi achhi rafiq-e-raah-e-manzil Se,

Thahar ja, ai sharai hum bhi tau aakhir mitne waale hai_n.

Author : Allama Iqbal

Kya mujhe khush aaye yeh hairat sarai be-sabaat,

Hosh urne ke lieye hai, jaan jaane ke lieye.

Author : Akber Allahabadi

Abhi leine pae nahi_n dam jahaa_n mei_n,

Ajal ka taqazaa hua chaahta hai.

Author : Hali

Chalti phirti chhaao_n hai pearey,

Kaisa sahra, kaisa gulshan!

Author : Jigar

Baad-e-fana fazool hai naam-o-nishaa_n ki fikar,

Jab hum nahi_n rahe tau rahega mazaar kya.

Author : Chakbast

Murghaan-e-qafas ko phoolo_n ne, ai Shad, yeh kahla bheja hai,

Aajaao jo tum ko aana ho, aise mei_n abhi shadaab hai_n hum

Author : Shad Azeemabadi

Umr bhar ka tu ne paimaan-e-wafa baandha tau kya, 

Umr ko bhi tau nahi_n hai paaeda_nri, haae, haae.

Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on BE-SABATI : 2578