Tumhara dard bhi taarikion ka qaatil hai
Usi chiraagh ko shamsheer karne aaya hoon
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Unchi si haveli mai utarta raha shabb bharr
Kutia mai meri chand ne jhanka bhi naheen tha
|
Author : Kausar Samreen |
|
Hum ahl-e-dil hain dete hain logon pe dam Ameer
Ab kya batayen rakhte hain kis kis ka gham Ameer
Aankhen zara zara se mein hoti hain nam Ameer
Khanjar chale kisi pe tadapte hain hum Ameer
Sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
|
Author : Ameer Minai |
|
Aey yaas hamko dard ke jaane ki kiya khushi,
Jaane ko to gaya magar ley ke jaaN gayaa.
|
Author : YAAS BIHARI |
|
Mai.n royaa pardes-mei.n,
bheega maa.n ka pyaar,
Dukh-ne dukh-se baat ki,
bin-chitthi,bin-taar.
|
Author : Nida Fazli |
|
Dard hai,Gham hai,aa.nsuo.n ke sailab yaha.n,
Sabr ka sabab bhii hai yahaa.n,
Ab To aitbaar naa TooTe mere yaar,
Bandagii chhodh,bulandii ke raste hai.n yaha.n.
|
Author : Anand Kaushal,Hamar TV |
|
Kyo.n pyaar ki bazi se hua is darja garizaa.n,
Kahte hai.n ke badal haar ke hara nahii karte,
Kajal se bhi ab kaam koi lena saheli,
Yo.n Dard se aankho.n, ko sa.nwara nahii karte.
|
Author : Fakhira Batool |
|
mujhe rogi karake pyar ka diya Gham ka rog laga
mere jalate hue charagh ko meri qismat gai bujha
|
Author : Aziz Kashmiri |
|
Kuchh aadini ko hai’n majbooria’n bhi duniya mei’n,
Are woh dard-e-mohabbat hi sahi tau kya mar jaae’n.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Har chara gar ko chara gari se gurez tha,
Warna hame’n Jo dukh the bahut la dawa na the.
|
Author : Faiz Ahmad Faiz |
|
Chara garo yeh taskeen kaisi, mai’n bhi hoo’n is duniya mei’n,
Unko aisa dard kab utha jinko bachna hota tha.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Bara hai dard ka rishta, yeh dil ghareeb sahi,
Tumhaare naam pe aae’nge ghumgusaar chale.
|
Author : Faiz Ahmad Faiz |
|
Aaj yoo’n mauj dar mauj ghum tham gaya,
Is tarah ghumzado’n ko qaraar aa gaya,
|
Author : Faiz Ahmad Faiz |
|
Jaise khushboo-e-zulf-e-bahaar aa gai,
Jaise paighaam -e-deedaar-e-yaar aa gaya.
|
Author : Faiz Ahmad Faiz |
|
Karta mai’n dardmand tabeebo’n se kya rajoo!
Jis ne diya tha dard bara woh hakim tha.
|
Author : Ameer Minai |
|
Ho farishta bhi tau nahi’n insaan,
Dard thora bahut na ho jismei’n.
|
Author : Hali |
|
Dard se maamoor hoti jaa rahi hai kaaenaat,
Ik dil-e-insaa”n magar dard aashna hota nahi’n.
|
Author : Jigar |
|
Dard mannat kash-e-dawa na hua,
Main na achha hua, bura na hua.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Mareez-e-ishq par rahmat Khuda ki,
Dard barhta gaya, yoo’n yoo’n dawa ki.
|
Author : Mir Taqi Mir |
|