donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
DEED
Barhake tishnagi-e-deed ja-rahe ho kahan?
nigaah-e-shauq adi hai, zara thahar jaao
Author : Kalim Akhtar

Ghubaar aankhon pe yoon-hi chhaa gayaa 
hai,
Ke teri deed ka pal aa gayaa hai. 
Author : Shahid Jameel

Tune dekha hai kabhi ek nazar sham ke bad
Kitne chup-chap se lagate hai’n shajar sham ke bad
Author : FARHAT ABBAS SHAH

Nazzare ko yeh jumbish-e-mizhgaa’n bhi baar hai,
Nargis ki aankh se tujhe dekha kare koi.
Author : Allama Iqbal

Kaasa-e-chashm le ke joo’n nargis,
Hum ne deedaar ki gadaai ki.
Author : Mir Taqi Mir

Deed -e-Laila ke lieye deeda-e-Majnu’n hai zaroor
Meri aankho’n se koi dekhe tamaasha tera.
Author : Unknown

Ik tiri deed chhin gai mujh se,
Warna duniya mei’n kya nahi’n baqi.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Maana ke teri deed ke qaabil nahi’n hoo’n mai’n,
Tu mera shauq dekh, mera intezaar dekh.
Author : Allama Iqbal

Dil ko niaaze-hasrat-e-deedaar kar chuke,
Dekha tau hum mei’n taaqat-e-deedaar bhi nahi’n.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on DEED : 809