donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
DIL
	Aap se dil lagake dekh liya
	umr bhar roke, gaake dekh liya
Author : Kalim Akhtar

Aansuon kee qadr-o-queemat kuchh nahin bazar mein
patthron ka shahr hai yeh, too bhi patthar dil taraash
Author : Kalim Akhtar

Ai dil-e-zaar! chhed koi ghazal
tujh mein main gharq, mujh mein too pamaal
Author : Kalim Akhtar

Isse aage mire iflaas kee roodaad na pooch
dil yuhin “taat” pe be-khwab pada rehta hai
Author : Kalim Akhtar

Shab-e-firaaq guzari hai humne barson baras
ai saaqi-e-gham-e-dil! aa, sharaab likhne aa
Author : Kalim Akhtar

Yeh barasti aag, yeh shoala dil-e-betaab ka
kaash hota mausam-e-garma mein ghar “barfaab” ka
Author : Kalim Akhtar

	Is saadgi ko kaun na apnaaye ai khuda!
	dil haath bhi uthata nahin aur dua buland
Author : Kalim Akhtar

	Shahr-e-dil ho gaya “Azeem-a-baad”
	gul se guldaan likhne aaya hoon
Author : Kalim Akhtar

	Kis saadgi se fikr-o-nazar le gaya koi
	dil mein utarke laal-o-guhar le gaya koi
Author : Kalim Akhtar

KYO'N AAJ USKA ZIKR MUJHE KHUSH NA KAR SAKA,
KYO'N AAJ USKA NAAM MERA DIL DUKHA GAYA,
IS HAADSE KO SUN KE KAREGA YAQEEN KAUN,
SURAJ KA AIK JHONKA HAWA KA BUJHA GAYA.
Author : Shahryar

Kuch chehrey aisey hotey hein
Pal bher ko ankh main atey hein
Ore bersoon dil main rehtey hein
Author : Obaidullah Aleem

kitna rafoo kar lo gai dil ko, kitna see loo gai
aysay jiyeh tu yaar humarya kitna jee loo gai
Author : Obaidullah Aleem

Maqrooz ke bigre huwe haalaat ki maanind
Majboor ke honto pe sawalaat ki maanind

Dil ka teri chahat main ajab haal hua hai
Sailaab se barbaad makanaat ki maanind

Main un main bhatakte huwe jugnu ki tarha hun
Us shakhs ki aankhain hain kisi raat ki maanind

Dil roz sajata hun main dulhan ki tarha se
Gham roz chale aaty hain baraat ki maanind

Kis darja muqqaddas hai tere qurb ki khuahish
Masoom se bachy ke khayalaat ki maanind

Ab ye bhi nhi yaad k kya naam tha uska
Jis shakhs k
Author : T.K.Aziz

Dil wo patthar hai,jo har mauj sahaa karta hai,
Ghum wo naddi hai ,jo har waqt bhari rahti hai.
Author : Shahid Jameel

Pa.ncho.n  waqt arm chair se  uTh nahi.n sakte sill ki tarah,
Surat bbhi nahi.n quaid ki tarah seerat bhi nahi.n aamil ki tarah,
Baatin ka hai pattao zaahir par zaahir ka hai partao baatin par,
Aainae dil par baal paRde chehra hai safa chat dil ki tarah.
Author : YAAS BIHARI

Ab kahi'n koi deewaar nahi'n mere or unke dermian,
Phir ye faasale kyo'n barrh gae,do kinaro'n ki tarah,
Meri be-chiragh zindagi mei'n jab tera khayal aae,
Dil phir dharkta hai jaggmag sitaro'n ki tarah .
Author : Iftikhar Chaudri

Seenay mei'n kyaa cheez thi,
jis-mei'n thi kuchh jaan,
Aansoo pikar ho-gaya,
ek dhelaa chattaan.
Author : Shahid Jameel

Jo dil ka ghanee hai wohi dar asl ghanee hai,
Daulat se koyee yaas tavangar nahi'n hota.
Author : Yaas Bihari

Ek sab aag,ek sab paani,          
Deeda-o-duil azaab hain dono.
Author : Mir Taqi Mir

yaaro'n mei'n teraa naam uchhaala hai
kis-tarah!
Dil-ne  ghubaar dil-ka,  nikaala hai
kis-tarah!
Author : Shahid Jameel

Dil use paane ka jab koi naa heela dekhe,
Bujh ke rah jaaye,duao'n kaa wasila dekhe,
Author : Saami Aejaz

Dil use paane ka jab koi naa heela dekhe,
Bujh ke rah jaaye,duao'n kaa wasila dekhe,
Author : Saami Aejaz

Kaha,yeh thaam liidiwaar Too yu'n hii warna,
Nahi bicharhne ka mujh ko zara malal nahii,
Zamee'n se kurchiya'n kyo', chun rahi hai aaj Batool,
Nahii kaha tha tujhe Dil ko to sa'nbhaal nahii.
Author : Fakhira Batool

Phir se pyaar ka dhoka khaya ja sakta tha,
Dil ka kya,Dil bahlaya ja sakta tha,
Kyu'n wapas naa aaya jakar woh jaane,
Lekin uske paas to jaya ja sakta tha.
Author : Fakhira Batool

Ab jungle men chain se soya karta huN
Dar lagta tha bachpan men weerani se

Dil pagal hai roz pashemaN hota hai
Phir bhi baaz nahiN aata nadani se.
Author : Aalam Khurshid

mujhe dil kii Khataa par 'Yaas' sharmaanaa nahii.n aataa 
paraayaa jurm naam likhavaanaa nahii.n aataa 
Author : Yagana Changezi

mujhe dil kii Khataa par 'Yaas' sharmaanaa nahii.n aataa 
paraayaa jurm naam likhavaanaa nahii.n aataa 
Author : Yagana Changezi

mujhe dil kii Khataa par 'Yaas' sharmaanaa nahii.n aataa 
paraayaa jurm naam likhavaanaa nahii.n aataa 
Author : Yagana Changezi

Tasweer teri dil mera bahla na sakegi 
ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi 
mai bat karoonga to ye Khamosh rahegi 
sine se laga loonga to ye kuch na kahegi 
Author : FAIYAZ HASHMI

Ya rab gham-e-hijr mai’n itna to kiya hota, 
Jo hath jigar pe hai wo dast-e-dua hota, 
Ik ishq ka Gham aafat aur us pe ye dil aafat ,
Ya Gham na diya hota ya dil na diya hota. 
Author : Chiragh Hasan Hasrat

Dil pe karte hain dimago’n pe asar karte , 
Hum ajab log hai’n zehno’n mai’n safar karte hai’n .
Author : Baqar Zaidi

Mujrim hoo'n tera aa mujhe jo chahe saza de,
Is dil mai'n mohabbat ki sanam aag laga de.
Author : Baazuddin Baaz

Ik tum ke dil mai'n dard kisi Ghair ke liye, 
ik hum ke dard ban gaye Khud aap ke liye,
Hum apne aashiyane mai'n tere muntzir, 
Tum tinke chun rahe the kisi aur ke liye.
Author : Azra Adil Rashid

Dil ke dariya ko kisi roz utar jana hai, 
Itana besimt na chal laut ke ghar jana hai, 
Us tak aati hai to har chiz thahar jati hai, 
Jaise pana hi use asl mei'n mar jana hai. 
Author : Amjad Islam Amjad

Kisi se kabhi dil lagaya na tha, 
mohabbat ka sadma uThaya na tha. 
Author : Akhter Sheerani

Dil ke sun saan jaziro’n ki Khabar layega, 
Dard pehloo se juda ho ke kaha’n jayega,
Yu’n hota hai kisi ka shab-e-tanhai mai’n, 
Ghum-e-furqat hi ghum-e-ishq ko behlayega.
Author : Ahmad Rahi

Kahin Ummid Si Hai Dil Ke Niha’nKhane Mei’n,
Abhi Kuchh Vaqt Lagega Ise Samajhane Mei’n.
Author : Ahmad Mushtaque

Dil Hai Aina-E-Hairat Se Do-Char Aaj Ki Rat,
Gham-E-Daura’n Mei’n Hai Aks-E-Gham-E-Yar Aaj Ki Rat.
Author : Abid Ali Abid

Phir se mausam baharo'n ka aane ko hai, 
Phir se rangee'n zamana badal jaye ga, 
Ab ki bazm e charaga'n saja lenge ham ,
Ye bhi arama'n dil ka nikal jaye ga. 
Author : Zahid

Jo dil ne kahi lab pe kaha'n ai hai dekho,
Ab mahafil e yara'n mei'n bhi tanhai hai dekho,
Phoolo'n se hava bhi kabhi ghabrai hai dekho,
Guncho'n se bhi shabnam kabhi katrai hai dekho.
Author : Zahra Nigah

Dil mai'n jo kuch hai abhi us ki pazirai nahi,
Hama Khushbu hoo'n par khilane ki ghari ai nahi.
Author : Zia Jullundhary

kya daur-e-Gazal tha ke lahoo dil main bahut tha
aur dil ko lahoo karne ki fursat bhi bahut thi
har sham sunate the hasinoo ko Gazal hum
jab mal bahut tha to saKhawat bhi bahut thi
Author : Kalim Aajiz

Dil Hai Aina-E-Hairat Se Do-Char Aj Ki Rat,
Gham-E-Dauran Mei’n Hai Aks-E-Gham-E-Yar Aj Ki Rat,
Atish-E-Gul Ko Daman Se Hava Deti Hai,
Didni Hai Ravish-E-Mauj-E-Bahar Aj Ki Rat.
Author : Abid Ali Abid

Suraj Ki Har Kiran Teri Surat Pe Var Doo’n 
dozakh ko chahta hoo’n ki jannat pe var doo’n
itni si hai tasalli ki hoga muqabala 
dil kya hai jan bhi apni qayamat pe var doo’n.
Author : Abdul Hamid Aadam

Jo dil pe guzarti hai suna deta hoo’n,
Jo baat bhi kahta hoo’n luta deta hoo’n,
Ashkon’n mei’n lahoo jab se laga hai aane,
Har sher ka mai’n rang jama deta hoo’n.
Author : Kalim Aajiz

Ai dard-e-mohabbat kuchh tu hi bata, ab tak yeh muimma
hal na hua,
Hum mei’n hai dil-e-betaab nihaa’n, ya aap dil-e-betaab hai’n hum.
Author : Shad Azeemabadi

Jin ko apni khabar nahi’n ab tak,
Woh mire dil ka raaz kya jaane.
Author : Dagh

Mai’n jaanta hoo’n aapko, hargiz na mol lei’n,
Qeemat jo dil ki ek hi bosa pe go chuke.
Author : Insha

Darta hoo’n dekh kar dil-e-be-aarzoo ko mai’n,
Sunsaan ghar yeh kyo’n na ho, mehmaan tau gaya.
Author : Dagh

Buri hai, ai Dagh, rah-e-ulfat, Khuda na le jaae aise raste,
Jo apni tum khair chaahte ho, tau bhool kar dil lagi na karna.
Author : Dagh

Dil ka ‘ujarna sahl sahi, basna sahl nahi’n, zaalim,
Basti basna khel nahi’n, baste baste basti hai.
Author : Fani

Zara sa dil hai lekin kam nahi’n hai,
Is mei’n kaun sa aalam nahi’n hai.
Author : Jigar

Dil hi bujha hua ho tau lutaf-e-bahaar kya,
Saqi hai kya, sharaab kya, sabza zaar kya.
Author : Chakbast

Dil phir tawaaf-e-koo-e-mulaamat ko jaae hai, 
Pindaar ka sanam kada weeraan kieya hue.
Author : Mirza Ghalib

Yeh dil ki taazgi hai, woh dil ki fasurdagi,
Is gulshan-e-jahaa’n ki, khizaa’n kya, bahaar kya.
Author : Chakbast

Duniya ki mahfilo’n se ukta gaya hoo’n yaarab,
Kya lutaf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho.
Author : Allama Iqbal

Hoti nahi’n dua qabool dard-e-ishq ki,
Dil chaahta na ho tau zabaa’n mei’n asar kahaa’n?
Author : Hali

Dard-e-dil ko dawa se kya matlab,
Keemiya ko tila se kya matiab?
Author : Hali

Dil ajab shahr tha khyaaloln ka,
Loota maara hai husn waaio’n ka.
Author : Mir Taqi Mir

Deedni hai shikastgi dil ki,
Kya imaarat ghumaon ne dhaai hai!
Author : Mir Taqi Mir

Dil woh nagar nahi’n jo aabad ho sake,
Pachhtaaoge, suno ho, yeh basti ujaar kar.
Author : Mir Taqi Mir

Hamaare aage tera jab kisi ne naam liya,
Dil-e-sitam-zada ko hum ne thaam, thaam liya.
Author : Mir Taqi Mir

Mat ranja kar kisi ko, apne tau aiteqaad,
Dil dhaaey kar jo kaaba banaya tau kya hua.
Author : Mir Taqi Mir

Aaeena dekh apna sa mu’nh le ke rah gaye,
Sahib ko dil na dene pe kitna gharoor tha.
Author : Mirza Ghalib

Shaam hi se bujha sa rahta hai,
Dil hua hai chiragh muflis ka.
Author : Mir Taqi Mir

Ranj-o-ghum maa’nge hai, andoh-o-bala maa’nge hai,
Dil woh mujrim ha ijo khud apni sazaa maa’nge hai.
Author : Jaan Nisaar Akhtar

Ji ki khushi nahi’n garo sabza-o-gul ke haath kuchh,
Dil ho shagufta jis jagah woh hi chaman hai, bagh hai.
Author : Dard

Kaaba agarche toota tau kya jaae ghum hai, sheikh,
Kuchh qasar-e-dil nahi’n ke banaaya na jaaega.
Author : Sauda

Dil ke yak qatra-e-khoo’n nahi’n hai besh,
Ek aalam ke sar bala laaya.
Author : Mir Taqi Mir

Maqtal-e-shauq ke aadaab nirale hai’n bahut,
Dil bhi qaatil ko diya karte hai’n, sar se pahle.
Author : Sardar Jafri

Baat yeh hai ke sakoon-e-dil-e-wahshi ka maqaam,
Kunj-e-zindda’n bhi nahi’n, wusat-e-sahra bhi nahi’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Qadr rakhti na thi mita-e-dil,
Saare aalam ko mai’n dikha laya
Author : Mir Taqi Mir

Kahoo’n kya dil ki kya haalat hai, hijar-e-yaar mei’n, Ghalib,
Ke betaabi se har yak taar-e-bistar khaar-e-bistar hai. 
Author : Mirza Ghalib

Kahoo’n kya dil ki kya haalat hai, hijar-e-yaar mei’n, Ghalib,
Ke betaabi se har yak taar-e-bistar khaar-e-bistar hai. 
Author : Mirza Ghalib

Bahut shor sunte the pahloo mei’n dil ka,
Jo cheera tau ik qatra-e-khoo’n na nikla.
Author : Aatish

Tangi-e-dil ka gila kya, yeh woh kaafir dil hai,
Ke gar tang na hota, tau pareeshaa’n hota. 
Author : Mirza Ghalib

Dil nahi’n, tujhko dikhaata warna daagho’n ki bahaar 
is chiraghaa’n ka karoo’n kya, kaar farma jal gaya. 
Author : Mirza Ghalib

Dil mei’n zauq-wal-o-yaad-e-yaar tak baqi nahi’n, 
Aag is ghar mei’n lagi aisi ke Jo tha jal gaya.
Author : Mirza Ghalib

Mai’n hoo’n aur afsurdagi ki aarzoo, Ghalib ke dil,
Dekh kar tarz-e-tapaak-e-ah-e-duniya jal gaya.
Author : Mirza Ghalib

Tu bacha bacha ke na rakh ise, tera aaeena hai woh aaeena,
Ke shikasta ho tau aziz tar hai nigah-e-aaeena saaz mei’n.
Author : Allama Iqbal

Dil zamaane ke haat se saalam,
Koi hoga jo rah gaya hoga.
Author : Dard

Fatah-o-shikast naseebo’n se hai, wale, ai Mir,
Muqabla tau dil-e-naatwaa’n ne khoob kiya.
Author : Mir Taqi Mir

Aankho’n se poochha haal dil ka,
Ek boond tapak pari lahu ki.
Author : Mir Taqi Mir

Laga na dil ko Kahi’n, ke suna nahi’n tu ne,
Jo kuchh ke Mir ka is aashiqi ne haal kiya.
Author : Mir Taqi Mir

Laakh dene ka ek dena hai,
Dil-e-be mudaa diya tu ne.
Author : Dagh

Jin ko apni khabar nahi’n ab tak,
Woh mire dil ka raaz kya jaane.
Author : Dagh

Ai dard-e-mohabbat kuchh tu hi bata, ab tak yeh muimma
hal na hua,
Hum mei’n hai dil-e-betaab nihaa’n, ya aap dil-e-betaab hai’n hum.
Author : Shad Azeemabadi

Mai’n jaanta hoo’n aapko, hargiz na mol lei’n,
Qeemat jo dil ki ek hi bosa pe go chuke.
Author : Insha

Mai’n jaanta hoo’n aapko, hargiz na mol lei’n,
Qeemat jo dil ki ek hi bosa pe go chuke.
Author : Insha

Darta hoo’n dekh kar dil-e-be-aarzoo ko mai’n,
Sunsaan ghar yeh kyo’n na ho, mehmaan tau gaya.
Author : Dagh

Tamanna dard-e-dil ki ho tau kar khidmat faqiro’n ki,
Nahi’n milta yeh gohar baadshaaho’n ke khazeeno’n mei’n. 
Author : Allama Iqbal

Tamanna dard-e-dil ki ho tau kar khidmat faqiro’n ki,
Nahi’n milta yeh gohar baadshaaho’n ke khazeeno’n mei’n. 
Author : Allama Iqbal

Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai,
Aakhir is dard ki dawa kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Kisi ko de ke dil koi nawa sanj-e-fughaa’n kyo’n ho,
Na ho jab dil hi seene mei’n, tau phir mu’nh mei’n zabaa’n
Kyo’n ho?
Author : Mirza Ghalib

Dil hi tau hai, na sang-o-khisht, dard se bhar na aae kyo’n,
Roenge hum hazaar baar, koi hame’n sataaey kyo’n'? 
Author : Mirza Ghalib

Dil hi tau hai, na sang-o-khisht, dard se bhar na aae kyo’n,
Roenge hum hazaar baar, koi hame’n sataaey kyo’n'? 
Author : Mirza Ghalib

Aadam ka jism jab ke anaasir se mil bana,
Kuchh aag bach rahi thi so aashiq ka dil bana.
Author : Sauda

Achha hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql,
Lekin kabhi, kabhi ise tanhaa bhi chhor de.
Author : Allama Iqbal

Jalte hi jalte subah tak guzri use tamaam shab,
Dil hai ke shola hai koi, shama hai ya chiragh hai.
Author : Allama Iqbal

Jo mai’n sar-be-sijda hua kabhi, tau zameen se aane lagi sada,
Tira dil tau hai sanam aashna, tujhe kya milega namaaz
Mei’n.
Author : Allama Iqbal

Ghamza, ada, nigah, tabassum hai dil ka mol,
Tum bhi agar ho iske kharidaar, kuchh kaho.
Author : Sauda

Phir mujhe le chala udhar, dekho,
Dil-e-khana kharaab ki baate’n.
Author : Zauq

Lieye tau chalte hai’n, hazrat-e-dil, tumhe’n bhi us anjuman
Mei’n, lekin,
Hamaare pahloo mei’n baith kar tum, hamee’n se pahloo tahi na karna 
Author : Dagh

Dil le ke rnuft kahte hai’n, kuchh kaam ka nahi’n,
Ulti shikaaite’n hai’n, ahsaan tau gaya.
Author : Dagh

Naa dil per zor thaa apna ,na qaaboo apni qismat per,
Gaye be-ikhtiyaar is bazm mei’n be-ikhtiyaar aaye.
Author : Kalim Aajiz

Kisi ko de ke dil koi nawa sanj-e-fughaa’n kyo’n ho,
Na ho jab dil hi seene mei’n, tau phir mu’nh mei’n zabaa’n
Kyo’n ho?
Author : Mirza Ghalib

Dil hi tau hai, na sang-o-khisht, dard se bhar na aae kyo’n,
Roenge hum hazaar baar, koi hame’n sataaey kyo’n'? 
Author : Mirza Ghalib

Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai,
Aakhir is dard ki dawa kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Hairaa’n hoo’n dil ko rau-oo’n, ke peetoo’n jigar ko mai’n,
Maqdoor ho tau saath rakhoo’n noha gar ko mai’n.
Author : Mirza Ghalib

Ulti ho gaiee’n sub tadbeere’n, kuchh na dawa ne kaam kiya,
Dekha is beemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya.
Author : Mir Taqi Mir

 
Total Visit on DIL : 3599