donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
DOSTI
EID KI RAAT HAI AUR RANG E HINA KHILTA HAI

KHUSHBU AISI HAI K JANNAT KA PATA MILTA HAI

SURKH RANGO'N MAI TERA HAATH SAJA HAI AISE

JIS TARAH GUL KOI MAKHMAL MAI RAKHA MILTA HAI
Author : Aleena Itrat Rizvi

HameN bhi aa paDaa hai dostoN se kaam kuchh yaani 
Hamaare dostoN ke bewafa hone ka waqt aaya
Author : Harichand Akhtar

Ae dost aa bhi jaa ke maiN tasdik kar sakooN
sab kah rahe haiN aaj fazaa khushgawaar hai
Author : Khumaar

Kaafi dinoN jiyaa hooN kisi dost ke bagair
Ab tum bhi saath chhoD.ne ko kah rahe ho, khair
Author : Firaq Gorakhpuri

teri zulfoN ko kya suljhaauN ai dost
meri raahoN meiN pecho-kHam bahut haiN
Author : Maikash

Mujh ko aashiq kahke uske roo-ba-roo mat kijiyo
DostaaN gar dost ho to ye kabhoo mat kijiyo
Author : Meer Hasan

“Tadbeer se to apni badi dosti rahi

Taqdeer ne salook kuch achha nahi kiya”
Author : Qamar Jalalabadi

اک ذرا سی بات پر برسوں کے یارانے گئے
لیکن اتنا تو ہوا کچھ لوگ پہچانے گئے
Author : Khatir Ghaznavi

“Bachke haalaat se ai dost kahan jaaega
tujhse pahle teri taqdeer bani hoti hai”
Author : Qamar Jalalabadi

“Tadbeer se to apni badi dosti rahi
Taqdeer ne salook kuch achha nahi kiya”
Author : Qamar Jalalabadi

چاہتوں کے سفر میں کتنا غریب تھا
نہ ملا وہ مجھے جو میرا نصیب تھا
جودیتے رہے مجھے درسِ وف
Author : Mohammad Nawaz Tahir

Muddat guzar gai he teri rah takte takte,
Laut aao kahi'n ruk na jaie ye sans rukte rokte.
Author : SHAHZAD KHAN

Jisy Main Chor Deti Hoon Usey Phir Bhool Jati Hoo’n
Phir Us Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahin Karti

Tera Israar Sar Aankhon Pe ke Tum Ko Bhool Jaon Main
Main Koshish Kar ke Dekhoo’n Gee Magar Vada Nahin Karti
Author : Perveen Shakir

Main Apni Dosti Ko Sheher Main Ruswa Nahin Krti.
Mohabbat Main Bhi Karti Hoon Magar Churcha Nahin Kerti

Jo Mujh Se Milnay Aa Jaye Main Us Ki Dil Se Khadim Hoon
Jo Utth K Jana Chahay Main Usy Roka Nahin Karti
Author : Perveen Shakir

Is naz is andaz se tum haye chalo ho
roz ek Gazal hum se kahlawaye chalo ho
rakhna hai kahin panv to rakho ho kahin panv
chalna zara aya hai to itraye chalo ho
Author : Kalim Aajiz

Faaida kya, so’nch, aakhir tu bhi dana hai, Asad,
 Dosti naadan ki hai, ji ka zayaa’n ho jaaega.
Author : Mirza Ghalib

Yeh kahaa’n ki dosti hai, bane hai’n dost naasih,
Koi chaara saaz hota, koi ghum-gusaar hota.
Author : Mirza Ghalib

Yeh kahaa’n ki dosti hai, bane hai’n dost naasih,
Koi chaara saaz hota, koi ghum-gusaar hota.
Author : Mirza Ghalib

Matlib parast dost na aae fareb mei’n,
Baitha raha lieye hue daam-e-wafa ko mai’n. 
Author : Hafeez

Zindagi ke udaas lamho’n ‘,
Be-wafa dost yaad aate hai’n.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Gul-e-dosti ‘ ajab rang-o-boo hai.
Kiya sair sab hum ne gulzaar-e-duniya
Author : Dard

Ai azizaa’n sair-e-gulshan hai gul-e-daagh-e-alam, 
Suhbat-e-ahbaab hai maani mei’n baagh-e-zindagi.
Author : wali

Dost ghum khwari mei’n meri saiee farmaae’nge kya,
 Zakhm ke bharne talak naakhun na barh aae’nge kya? 
Author : Mirza Ghalib

Jahaan-e-dosti ik jannat -e-eesaar hota hai,
Yahaa’n bhi kahish-e-sood-o-zayaa’n tak baat aa pahu’nchi. 
Author : Hari Chand Akhter

Kya bazm-e-dostaa’n thi, abhi kal ki baat hai,
M aaloom ho raha hai ke sadiaa’n guzar gaie’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Woh ik hamaara tareeq-e-ulfat ke dushmano’n se bhi mil
ke chalna,
Woh ek shaiwa tira sitam gar, ke dost se dosti na karna.
Author : Dagh

Hame_n bhi aa para hai dosto_n se kaam kuchh, yaani,

Hamaare dosto_n ke be-wafa hone ka waqt aaya.

Author : Hari Chand Akhter

Ai Zauq kisi humdam-e-deerana ka milna,
Behtar hai mulaqaat-e-Maseeha-o-Khizar se.
Author : Zauq Dehlvi

Hum bhi dushman se ho gaye apne,
Aap ne jab se dosti kam ki.
Author : Firaq Gorakhpuri

Ik tumhi’n milne se bezaar ho mere, warna
Dosti na’ng nahi’n, aib nahi’n, aar nahi’n.
Author : Mir Taqi Mir

Ab zaat-e-haq baghair na rakh dosti, Siraj,
Aalam mei’n aashnaai-o-ulfat nahi’n rahi.
Author : Siraj Aurangabadi

Duniya mei’n aaj koi kisi ka nahi’n raha,
Ai lutaf-e-yaar, teri zaroorat hai door door
Author : Firaq Gorakhpuri

Yoo’n kis tarah   katega kari dhoop ka safar,
Sar par khayaal-e-yaar ki chaadar hi le chale’n
Author : Nasir Kazmi

Dosti ka jo kiya karte hai’n daawa ahbaab,
 Waqt parta hai tau sab aa’nkh chura lete hai’n.
Author : Akber Allahabadi

 Daur-e-haazir ki dosti, Ahsaan,
Kis qadar jald rang badalti hai.
Author : Ahsan Danish

Ai dost hum ne tark-e-mohabbat ke baawjood,
 Mahsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi.
Author : Nasir Kazmi

Ai azizaa’n sair-e-gulshan hai gul-e-daagh-e-alam, 
Suhbat-e-ahbaab hai maani mei’n baagh-e-zindagi.
Author : Wali

Gul-e-dosti ‘ ajab rang-o-boo hai.
Kiya sair sab hum ne gulzaar-e-duniya
Author : Dard

Zindagi ke udaas lamho’n ‘,
Be-wafa dost yaad aate hai’n.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Matlib parast dost na aae fareb mei’n,
Baitha raha lieye hue daam-e-wafa ko mai’n. 
Author : Hafeez

Dost ghum khwari mei’n meri saiee farmaae’nge kya,
 Zakhm ke bharne talak naakhun na barh aae’nge kya? 
Author : Mirza Ghalib

Faaida kya, so’nch, aakhir tu bhi dana hai, Asad,

 Dosti naadan ki hai, ji ka zayaa’n ho jaaega
Author : Mirza Ghalib

Yeh kahaa’n ki dosti hai, bane hai’n dost naasih,

Koi chaara saaz hota, koi ghum-gusaar hota.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on DOSTI : 2757