donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
DUA
Is saadgi ko kaun na apnaaye ai khuda!
dil haath bhi uthata nahin aur dua buland
Author : Kalim Akhtar

کب شعلۂ نفرت کو ہوا دیتے ہیں
ہم اہلِ محبت ہیں دعا دیتے ہیں
بڑھتے ہیں قدم جب بھی پئے یارا&#
Author : Mushtaq Darbhangwi

Yaad aaye haiN uff gunaah kyaa-kyaa
Haath uThaye haiN jab dua ke liye
Author : Zaqi Kakoravi

Haath uthte-hi  kataa,chaliye,
yahan-se chaliye,
Kya dua,kaisi dua,chaliye
yahan-se chaliye!
Author : Mazher Imam

Jab duaa di usay, alfaaz sab apne bartey,
Iss bhalaee mei'n, ye thoda-sa buraa hum-ne kiya.
Author : Shahid Jameel

Duaa-ko shauque hai takraa-ke laut-aane ka,
Zubaan lafz-zada,haasil-e-bayaa'n khaali.
Author : Shahid Jameel

Hussain hai Mustafa(s.a.w.w) ka mahwar Hussain,
Mushkilkusha ka mahwar Hai teergi mei'n zia ka mahwar,
Hussain tu hai Khuda ka mahwar,Mere liye hai yahi batayhra,
Hussain mera..Hussain mera Hussain mera Imam,Aaqa.         
 
Author : Fakhira Batool

Suraj Ki Har Kiran Teri Surat Pe Var Doo’n 
Dozakh ko chahta hoo’n ki jannat pe var doo’n
Itni si hai tasalli ki hoga muqabala 
Dil kya hai jan bhi apni qayamat pe var doo’n
Author : Abdul Hamid Aadam

Mujhe zindagi ki dua dene waale,
Hansi aa rahi hai tiri saadgi par
Author : Gopal Mittal

Talab-e-aashiq-e-saadiq mei’n asar hota hai,
Go zara der mei’n hota hai, magar hota hai.
Author : Azad Ansari

Gar guzre dawa se tau bharose pe dua ke,
Gar guzre’n dua se, tau dua hai yeh Khuda Se.
Author : Unknown

Ahl-e-karam, tarz-e-karam bhool chuke ho,
Hum jaise faqiro’n ko tau ab bhi hai dua yaad.
Author : Mahir-ul-Qadri

Masjid tau bana di dam bhar mei’n eemaan ki haraarat waalo’n ne,
Man apna purana paapi hai, barso’n mei’n namaazi ban na saka
Author : Allama Iqbal

Unhe’n zauq-e-ibaadat bhi hai, aur gaane ki aadat bhi,
Nikalti hai’n duaaei’n unke munh se thumriaa’n ho kar.
Author : Akber Allahabadi

Ya taalib-e-duaa tha mai’n ek ek se, Jigar,
Ya khud yeh chaahta hoo’n, dua mei’n asar na ho.
Author : Jigar

Maanga karenge ab se dua hijar-e-yaar ki,
Aakhir ko dushmani hai asar ko dua ke saath.
Author : Momin

Tayyaar the namaaz pe hum sun ke zikar-e-hoor,
Jalwa buto’n ka dekh ke neeat badal gai.
Author : Akber Allahabadi

Dua karoo’n na karoo’n, soch hai yehi ke tujhe,
Dua se pahle mere dil ka mudaa maaloom.
Author : Shad Azeemabadi

Jaan tujh par nisaar karta hoo’n,
Mai’n nahi’n jaanta dua kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri,
Zindagi shama ki soorat ho, Khudaya meri.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on DUA : 885