donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
DUNIYA
Is aag ko na aab samajh, fart-e-shauq mein
duniya samajh rahi hai hawa-e-sukhan kee aag
Author : Kalim Akhtar

دنیا کی نظر میں وہ طرح داری ہے
حق بات یہی ہے کہ وہ مکاری ہے
اب جھوٹ کو بھی سچ کا لبادہ دینا
Author : Mushtaq Darbhangwi

Iss dunya mein jo humko dil ke hein rog mile 
Khushion ki talaash mein jo humko hein sog mile 

Matlabi zamane ki matlabi galion mein wakas 
Doston ke roop mein, sab dushman log mile 
Author : Wakas Mir

“Meri duniya me faqat ek Khuda kaafi hai

Dosto kitne Khudaaon ko Khudaai doonga

Teri hi rooh ka nagma hoon agar mit bhi gaya

Mai tujhe doosri duniya me dikhayi doonga’’
Author : Qamar Jalalabadi

میں کیسے جیؤں گر یہ دُنیا ہر آن نئی تصویر نہ ہو
یہ آتے جاتے رنگ نہ ہوں اور لفظوں کی تنویر &
Author : Obaidullah Aleem

mere watan pay utaratay howay andhairoon ko
jo tum kahoo, mujhay qehar e khuda sa lagta hai

dua karoo ke mein uss kayliyeah dua hoo jaoon
woh aik shakhas jo dil ko dua sa lagta hai

abhi khareed layain duniya kahaan ki mehangi hai
magar zameer ka soda burra sa lagta hai
Author : Obaidullah Aleem

“Meri duniya me faqat ek Khuda kaafi hai 
Dosto kitne Khudaaon ko Khudaai doonga
Teri hi rooh ka nagma hoon agar mit bhi gaya
Mai tujhe doosri duniya me dikhayi doonga’’
Author : Qamar Jalalabadi

muhajir hain magar ham ek duniya chhoR aaye hai'n,
tumhaare paas jitna hai ham utnaa chhoR aaye hai'n,
Author : Manzar Hussain Akber

Saari dunya ek suyee-ki aankh mei'n thi,
Tum-bhi toh dhaaga thay, mai'n-bhi dhaaga tha.
Author : Monazir Aashiq Harganwi

Iss duniya mei'n humne abtak dekhe kaise-kaise log,
Makkar-o-ayyaar-o-farebi,sidhe-saade sachche log.
Author : Manazir Ashiq Harganwi

Sab kartab remote ke,jung-mahabbat ek,
Duniya hai ek video,jo dil chaahe dekh!
Author : Shahid Jameel

Duniya ko bahlane wala
Kya khud ko bahlane nikla,
Gham se larhta Larhta aaya,
Gham to jaise dhane nikla
Author : Syed Saghir Ahmad Jafri

Munsabo jaah naa karte hai zaro maal buland,
Hai'n buland aap hai'n gar aapke aamaal buland,
Kya Taajub hai jo Duniya ne use yaad rakha,
Har zamane mei'n hai IQBAL ka iqbal buland.
Author : Firoz Khusro

Dastoor ibadat ka duniya se nirala ho,
Ik hath mai’n mala ho ik hath mai’n pyala ho,
Poojenge saliqe se andaz magar apna, 
Ho yad-e-Khuda dil mai’n saqi ne sambhala ho .
Author : Dalip Tahir

Dastoor ibadat ka duniya se nirala ho,
Ik hath mai’n mala ho ik hath mai’n pyala ho,
Poojenge saliqe se andaz magar apna, 
Ho yad-e-Khuda dil mai’n saqi ne sambhala ho .
Author : Dalip Tahir

Hai is anjuman mei’n yaksaa’n adm-o-wajood mera,
Ke jo mai’n yahaa’n na hota, yehi kaarobaar hota.
Author : Ismail Meeruti

Dar ke kisi se chhup jaata hai jaise saanp khaaane mei’n,
Zar ke zor pe zinda hai’n sab, khaak ke is weeraane mei’n.
Author : Munir Niazi

 Saari duniya ke hai’n woh mere siwa,
Mai’n ne duniya chhor di jinke lieye.
Author : Ameer Minai

Duniya meri bala jaane, mahngi hai ya sasti hai,
Maut mile tau muft na loo’n, hasti ki kya hasti hai.
Author : Fani

Duniya mei’n hoo’n, duniya ka talabgaar nahi’n hoo’n,
Baazaar se guzra hoo’n, kharidaar nahi’n hoo’n.
Author : Akber Allahabadi

Marne ki duaaei’n kyon maangoo’n, jeene ki tamanna kaun
kare,
Yeh duniya ya woh duniya, ab khwahish-e-duniya kaun kare
Author : Jazbi

Yeh zameen hai be-wafa, yeh aasmaa’n be mehar hai,
Ji mei’n hai ab ik naya aalam kare’n eejaad hum.
Author : Nasikh

Yehi duniya hai duniya aansoo-o-‘n ki,
Yehi duniya tabassum zaar bhi hai.
Author : Jigar

Roz maamoora-e-duniya mei’n kharaabi hai, Zafar,
Aisi basti ko tau weeraana banaaya hota. 
Author : Zafar

Duniya ne kis ka raah-e-fana mei’n diya hai saath, 
Tum bhi chale chalo yoo’n hi’n jab tak chali chale.
Author : Zauq

 Duniya ki haal, ahle Adam, hai yeh mukhtesar, 
Ik do qadam ka koocha-e-umeed-o-beem tha.
Author : Ameer Minai

Aankh jo kuchh dekhti hai, lab pe aa sakta nahi’n,
Mahw-e-hairat hoo’n ke duniya kya se kya ho jaaegi.
Author : Allama Iqbal

Khuda jaane yeh duniya jalwa gah-e-naaz hai kiski,
Hazaaro’n uth gaye lekin wohi raunaq hai mahfil ki.
Author : Unknown

Yeh chaman yoo’nhi rahega, aur hazaaro’n jaanwar,
Apni apni boliaa’n sab bol kar ur jaaenge.
Author : Unknown

Yeh aab-o-khaak.-o-baad ka jahan bahut hasee’n hai,
Agar koi bahisht hai, tau bas yehi zameen hai.
Author : Sardar Jafri

Har shaam hui subah ko ik khwab-e-faraamosh,
Duniya yehi duniya hai tau kya yaad rahegi.
Author : Yagna Changezi

Yeh duniya hai yahaa’n taar-e-kafan bhi chheen lete hai’n,
Musaafir thak ke soey hai’n, mazaaro, jaagte rahna.
Author : Zameer Kazmi

Mat ho bahaar-e-gulshan-e-duniya ka andleeb,
Is phool ban mei’n boo-e-rafaaqat nahi’n rahi.
Author : Siraj Aurangabadi

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dilfareb hai’n ghum rozgaar ke.
Author : Faiz Ahmad Faiz

 Baazeecha-e-itefaal hai duniya mire aage,
Hota hai shab-o-roz tamaasha mire aage.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on DUNIYA : 2250