donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
FITRAT
NahiN milte na miliye khair koi mar na jaayega
Khuda ka shukra hai pahle mohabbat aapne kam ki
Author : Qurban Ali Saalik

Apno'n se mile Ghum To dikhaya nahii'n karte,
Ham aise Tamasho'n ka Tamasha nahii'n karte,
Ghum dil ki amanat The,use sau'np diye hai'n,
Chehre pe har ik lamha, sajaya nahii'n karte.
Author : Saami Aejaz

Qalam tora nahi us ney,
Abhi kuch marhalay baaqi hei'n,
In ko tay tou honay do,
Yahein hoon mein,Yahein ho tum,
Mujhay sangsaar kar laiyna,
Abhi sey kis lye pathar uthatay ho.?
Author : Fakhira Batool

Hawa bhi khushwaar hai,
Gulo’n pe bhi nikhaar hai,
Tarannum-e-hazaar hai,
Bahaar pur bahaar hai.
Author : Hafeez

Sooraj lahu luhaan samundar mei’n gir para,
Din ka gharoor toot gaya, shaam ho gai.
Author : Hasan Kamal

 Kal subah ke matla-e-taabaa’n se jab aalam buqqa-e-noor hua, 
Sab chaand sitaare maand hue, khurshid ka noor 
zahoor hua
Author : Naazir

Hawaaei’n zor kitna hi lagaaei’n aandhia’n ban kar, 
Magar jo ghir ke aata hai woh baadal chha hi jaata hai.
Author : Josh

Khud fana ho ke raat mei’n milna,
Yeh tamasha habaab mei’n dekha.
Author : Mast

Khuli hui hai kitaab-e-fitrat, jo kar rahi hai hame’n ishaare,
Ise parho tum ke har warq par raqrn hai’n kitne hi istaare.
Author : Md. Ilyas Tanwir

Yeh ghuncha-o-gul, yeh barg-o-sabza, yeh dasht-o-darya, yeh chaand taare,
Agar salaamat hai chashm-e-naazir, tau dilkusha hai’n 
Sabhi nazzare.
Author : Md. Ilyas Tanwir

Udaas dil hai agar tau udaas saara jahaa’n,
Koi bhi manzir-e-fitrat nazar nawaaz nahi’n.
Author : Maikash Kashmiri

Phir is andaaz se bahaar aai,
Ke hue rnehar-o-mah tamashaai.
Author : Mirza Ghalib

Baagh ko tujh bin apne bhaaei’n aatish di hai bahaaraa’n ne,
Har ghunch akhgar hai humko, har gui ik angaraa hai.
Author : Mir Taqi Mir

Sooraj ne jaate jaate, shaam-e-seah qaba ko,
Tisht-e-ufaq se lekar laale ke phool maare.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on FITRAT : 1276