donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
GALI
Tu yoo’n ghair ko gaaliaa’n shauq se de,
Hame’n kuchh kahega tau hota rahega.
Author : Mir Taqi Mir

Paaoo’n tau in haseeno’n ka munh choom loon, Riaz, 
Aaaj unki gaalio’n ne bara hi maza diya.
Author : Riaz

Kitne sheeri’n hai’n tere lab, ke raqeeb,
Gaaliaa’n kha ke be maza na hua.
Author : Mirza Ghalib

Lagti hai’n gaaliaa’n bhi tire munh se kya bhali,
Qurbaan tere phir mujhe kah le isi tarah!
Author : Momin

Choom lene dei woh apne lab, ye mai’n kaise kahoo’n,
Warna kuchh mushkil na tha dushnaam-e-jaanaan ka jawab.
Author : Niaz Fatehpuri

Tu yoo’n ghair ko gaaliaa’n shauq se de,
Hame’n kuchh kahega tau hota rahega.
Author : Mir Taqi Mir

Maeeshat hum faqeeron ki si ikhwaan-e-zamaan se kar,
Koigaali bhi de tau kah: “bhala bhaai, bhala hoga.”
Author : Mir Taqi Mir

Mai’n gaya bhi waa’n tau unki gaalio’n ka kya jawaab, 
Yaad thei’n jitni duaae’n sarf-e-darbaa’n ho gaie’n.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on GALI : 821