donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
GHAR
Yeh barasti aag, yeh shoala dil-e-betaab ka
kash hota mausam-e-garma mein ghar barfaab ka
	
Author : Kalim Akhtar

Kisi ki raah roshan ho gaee hai,
Bahut achha-ke mera ghar jala hai.
Author : Manazir Ashiq Harganwi

Log toot -jaate hain ek ghar banaane mei'n,
Tum taras nahin khaate  bastiyaa'n jalane mei'n.
Author : Basheer Badr

Kahaan-kahaan se bhatak kar kidhar chalay aaye? 
Jahaan bhi pahunchay hain , samjho ke ghar chalay aaye
Author : Shahid Jameel

Wohi tanhaai, wohi dhoop, wohi be sitami,
Ghar mei’n rahna bhi hua rahguzar mei’n rahna.
Author : Praveen Shakir

Chhora na rashk ne ke tere ghar ka naam loo’n,
Har ik se poochhta hoo’n ke jaaoo’n kidhar ko mai’n.
Author : Mirza Ghalib

Lo, woh bhi kahte hai’n ke yeh be nang-o-naam hai,
Yeh jaanta agar tau lutata na ghar ko mai’n.
Author : Mirza Ghalib

Jise raunaq tire qadmo’n ne dekar chheen li raunaq, 
Woh laakh aabad ho, us ghar ki weeraani nahi’n jaati.
Author : Jigar

Darta hoo’n dekh kar dil-e-be-aarzoo ko mai’n,
Sunsaan ghar yeh kyo’n na ho, mehmaan tau gaya.
Author : Dagh

Ghar hamaara Jo na rote tau bhi weeraa’n hota,
Bahr gar bahr na bota, tau bayabaa’n hota.
Author : Mirza Ghalib

Ug raha hai dar-o-deewaar pe sabza Ghalib,
Hum bayabaan mei’n hai’n, ghar mei’n bahaar aai hai
Author : Mir Taqi Mir

Palat rahe hai’n ghareeb-ul-watan, palatna tha,
Woh koocha roo-kash-e-jannat sahi, ghar hai ghar phir bhi.
Author : Firaq Gorakhpuri

Kya hi Rizwaa’n se laraai hogi,
Ghar tira khuld mei’n garyaad aaya.
Author : Mirza Ghalib

Woh aae ghar mei’n hamaare, Khuda ki qudrat hai,
Kabhi hum unko, kabhi apne ghar ko dekhte hai’n.
Author : Mirza Ghalib

Hai khabar garm aaj unke aane ki,
Aaj hi ghar mei’n boriya na hua.
Author : Mirza Ghalib

Be dar-o-deewaar sa ik ghar banaaya chaaheye,
Koi hum saaya na ho, aur paasbaa’n koi na ho.
Author : Mirza Ghalib

Koi weerani si weerani hai,
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya.
Author : Mirza Ghalib

Kis dhitaai se woh dil chheen ke kahte hai’n, Amir,
Woh mira ghar hai, rahe jis mei’n mohabbat meri.
Author : Ameer Minai

 
Total Visit on GHAR : 997