donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
GULSHAN
Ura kar sehan-e-gulshan se, mita kar aashia’n mera, 
Mere saaye ke peechhe phir raha hai baaghbaa’n mera.
Author : Chakbast

Azizaan-e-watan ko ghuncha-o-barg-o-samar jaana,
 Khuda ko baghbaa’n aur qaum ko hum ne shajar jaana.
Author : Chakbast

Badal sako tau badal do yeh baaghbaa’n, warna,
Yeh bagh saaya-e-sarw-o-sama’n ko tarsega.
Author : Nasir Kazmi

 Chaman zaar-e-mohabbat mei’n usi ne baaghbaani ki,
 Ke jis ne apni mehnat hi ko, mehnat ka samar jaana.
Author : Chakbast

Mohabbat thi chaman se, lekin ab yeh be-dimaaghi hai,
 Ke mauj-e-boo-e-gul se naak mei’n aata hai dam mera.
Author : Mirza Ghalib

 Urti phirti thei’n hazaaro’n bulbulei’n gulzaar mei’n,
Jinmein kya aai ke paaband-e-nasheman ho gaei’n!
Author : Unknown

Mai_n chaman mei_n kya gaya, goya dabistaa_n khul gaya,

Bulbale_n sun kar mere naale ghazal-khwan ho gaie_n.

Author : Mirza Ghalib

Gulshan Ki hawa zaar hui jaati hai,
Phoolo’n ki nazar khawar hui jaati hai,
Jo shaakh kabhi jhuk ke gale miltee thii,
Khainch kar talwaar hui jaati hai.
Author : Kalim Aajiz

Kabak-o-qumri mei’n jhagra hai ke chaman kiska hai, 
Kal bata degi khizaa’n ke watan kiska hai,
Author : Hali

Jalwa hai usi ka sab guishan mei’n zamaane ke,
Gul phool ko hai un ne parda sa bana rakhkha. Sayyaad tera 
Author : Mir Taqi Mir

ghar mujhe jannat sahi, magar,
Jannat se bhi siwa mujhe raahat chaman mei’n thi.
Author : Riaz

Hum lieye phirte hai’n aankho’n mei’n chaman, ai baaghbaa’n,
Jistaraf uthi nigah-e-shauq, gulshan ho gaya.
Author : Saqab Lucknavi

Gulu’n mei’n rang bhare, baad-e-nau bahaar chale,
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Kyo’n na dekhoo’n chaman ko hasrat Se,
Aashiaa’n tha mira yahaa’n par saal.
Author : Mir Taqi Mir

 
Total Visit on GULSHAN : 1098