donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
GUNAH
Mit jaayega wajood ka daagh-e-gunah-gari
sajde mein gir bhi jao ki dhalne lagi hai sham
Author : Kalim Akhtar

Aata hai dagh-e-hasrat-e-dil ka shumaar yaad,
Mujh se mere gunah ka hisaab mire Khuda na maang.
Author : Mirza Ghalib

Pakre jaate hai’n farishto’n ke likhe par nahaq,
Aadmi koi hamaara dam-e-tahreer bhi tha.
Author : Mirza Ghalib

Banda nawaazio’n pe Khudaa-e-karim tha, 
Karta na mai’n gunah tau gunah-e-azim tha.
Author : Ameer Minai

Hadd chaaheye saza mei’n aqoobat ke waaste,
Aakhir gunahgaar hoo’n, kaafir nahi’n hoo’n ma’in.
Author : Mirza Ghalib

Ijz-e-gunah ke dam tak hai, ismat-e-kaamil ke jalway,
 Pasti hai tau bulandi hai, raaz-e-bulandi pasti hai.
Author : Fani

Mujh gunahgaar ko Jo bakhsh diya,
Tau jahannum ko kya diya tu ne!
Author : Dagh

Saamaan-e-ufw kya mai’n kahu’n, mukhtesar hai yeh,
Banda gunahgaar tha, khaaliq karim tha.
Author : Ameer Minai

Rahmat agar qabool kare, kya baeed hai,
 Sharmindgi se uzar na karna gunah ka.
Author : Mirza Ghalib

Tamasha-e-gulshan, tamanna-e-cheeda’n,
 Bahaar aafreena, gunahgaar hai’n hum.
Author : Mirza Ghalib

Woh karishme shaan-e-rahmat ne dikhaaey roz-e-hashr,

Cheekh utha har be-gunah: mai_n bhi gunah gaaro-n mei_n Hoo_n

Author : Ameer Minai

Tamasha-e-gulshan, tamanna-e-cheeda’n,
 Bahaar aafreena, gunahgaar hai’n hum.
Author : Mirza Ghalib

Pursish-e-ahwaal se maqsad tha ruswaai miri,
 Warna zaahir tha sabhi kuchh kya hua, kyo’nkar hua.
Author : Allama Iqbal

Phir gunah ka koi –toofaa’n uthaya jaaey, 
Uski soi hui rahmat ko jagaaya jaae.
Author : Qamar Jalalabadi

Nakarda gunaaho’n ki bhi hasrat ki mile daad, 
Yaarab gar karda gunaaho’n ki saza hai.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on GUNAH : 1182