donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
HIJAR
Hijr-ne ab-ke baras tai kiye lamhe kya-kya!
Faasle bazm-e-mulaaqaat huye jaate hai'n.
Author : Shahid Jameel

Iss ehtemaam se ujdaa hai baagh hijrat mein,
Shajar waheen raha,bargo-samar chalay aaye.
Author : Shahid Jameel

Iss ehtemaam se ujdaa hai baagh hijrat mein,
Shajar waheen raha,bargo-samar chalay aaye.
Author : Shahid Jameel

Tujh se qismat mei’n meri soorat-e-qufl-e-abjad, 
Tha likha baat ke bante hi juda ho jaana.
Author : Mirza Ghalib

Bahut dino’n mei’n mohabbat ko yeh hua maaloom, 
Jo tere hijar mei’n guzri, woh raat raat hui.
Author : Firaq Gorakhpuri

Tu kahaa’n jaaegi, kuchh apna thikana kar le, 
Hum tau kal khwab-e-adam mei’n shab-e-hijaraa’n honge.
Author : Momin

Kab se hoo_n kya bataaoo_n jahaan-e-kharaab mei_n,

Shabhaae hijaraa_n ko bhi rakhoo_n gar hisaab mei_n.

Author : Mirza Ghalib

Is shahr-e-be chiragh mei’n aaegi tu kahaa’n, 
Aa ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chale’n.
Author : Nasir Kazmi

Shabaan-e-hijaraa’n daraaz choo’n zulf wa roz-e-waslat choo’n umr kotaah,
Sakhi peaa ko jo mai’n na dekhoo’n, tau kaise kaatoo’n andheri ratiaa’n.
Author : Amir Khusru

Maut hi se kuchh ilaj-e-dard-e- furqat ho tau ho,
Ghusle-e-mayyat hi hamaara ghusle-e-sehat ho tau ho.
Author : zauq

Juda kisi se, gharz, kisi ka habeeb naho,
Yeh daagh woh hai ke dushman ko bhi naseeb na ho.
Author : Nazir Akberabadi

Aap aae tau mujhko yaad aaya, 
Zindagi naam hai judai ka.
Author : Unknown

Tire firaq mei’n jaise khayaal muflis ka,
Gai hai fikar-e-pareeshaa’n kahaa’n kahaa’n meri.
Author : Mir Taqi Mir

Aaj na jaane raaz yeh kya hai,
Hijar hi shab, aur itni roshan!
Author : Jigar

Jag soona hai tere baghair aankho’n ka kya haal hua,
Jab bhi duniya basti thi, ab bhi duniya basti hai.
Author : Fani

Kyo’n barhaate ho ikhtelaat bahut,
Hum ko taaqat nahi’n judaai ki.
Author : Hali

Turn mere paas hote ho, goya,
 Jab koi doosra nahi’n hota.
Author : Momin

Maheene wasal ke ghario’n ki soorat guzre jaate hai’n,
Magar ghariaa’n judai ki guzarti hai’n maheeno’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

Naa de name ko itna tool, Ghalib, mukhtesar likh de, 
Ke “hasrat sanj hoo’n arz-e-sitamhaae judaai ka.”
Author : Mirza Ghalib

Tum juda hoge tau ho jaaegi yeh raat pahaar, 
Raat ki raat thahr jaao ke kuchh raat kate
Author : Faiz Ahmad Faiz

Tum juda hoge tau ho jaaegi yeh raat pahaar, 
Raat ki raat thahr jaao ke kuchh raat kate.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Ik teri deed chhin gai mujh Se, 
Warna duniya mei’n kya nahi’n baaqi.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Aa gaya jab wasal ki shab bhi kahin zikar-e-firaq,
Woh tira ro ro ke mujhko bhi rulaana yaad hai.
Author : Hasrat

Aa gaya jab wasal ki shab bhi kahin zikar-e-firaq,
Woh tira ro ro ke mujhko bhi rulaana yaad hai.
Author : Hasrat

Jis marz mei’n ke jaan jaati hai, 
Dilbaro’n ki hi woh judaai hai.
Author : Mir Taqi Mir

 
Total Visit on HIJAR : 1385