donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
HUSN

Husn e fitrat ka nazara hai yeh behad shaandaar
Hai numaayaaN jis se Barqi San'at e Parwardigaar

 

Author : Ahmad Ali Barqi Azmi

Yeh kiska husn tasawwur mein aagaya‘Akhtar’
kali ko, phool ko tasweer karne aaya hoon
Author : Kalim Akhtar

Yoo’n muskaraae, jaan si kalio’n mei’n par gai,
Yoo’n lab kusha hue, ke gulistaa’n bana diya.
Author : Asgher Gondvi

Yoo’n muskaraae, jaan si kalio’n mei’n par gai,
Yoo’n lab kusha hue, ke gulistaa’n bana diya.
Author : Asgher Gondvi

Kaali kaali aa’nkhe’n hai’n, gori gori ra’ngat hai,
Lambe lambe gaisoo hai’n, aur bholi bholi soorat hai,
Author : Shad Azeemabadi

Yeh hai’n jitne hasee’n chehre meri mala ke manke hai’n,
Nigaahe’n uthti jaati hai’n, ibaadat hoti jaati hai.
Author : Ganga Dhar Tasneem

Hai justjoo ke khoob se hai khoobtar kahaa’n,
Ab thahrti hai dekhiye ja kar nazar kahaa’n.
Author : Hali

Chara gari beemaari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahi’n,
Warna dilbar-e-nadaa’n bhi is dard ka chaara jaane hai.
Author : Mir Taqi Mir

Sab kaha’an, kuchh laala-o-gul mei’n numaayaa’n ho gaie’n,
Khaak mei’n kya soorate’n hongi ke pinhaa’n ho gaie’n.
Author : Mirza Ghalib

 Khud husn isteaara hai jiske jamaal ka,
Who jaan-e-husn, husn-e-saraapa hi aur hai.
Author : Jigar

Ab tak nahi’n dekha hai kya us rukh-e-khandaan ko,
1k taar-e-shuaee se uljha hai Jo parwaana.
Author : Asgher Gondvi

Na paak hoga kabhi husn-o-ishq ka jhagra,
Woh qissa hai yeh jiska koi gawaah nahi’n.
Author : Aaatish

Teri soorat se hai aalam mei’n bahaaro’n ko sahaat,
Teri aankho’n ke siwa duniya mei’n rakhkha kya hai.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Nazaakat uske mukhre ki dekhio, Insha!
Naseem-e-subah Jo chhoo jaae, rang ho maila.
Author : Insha

Yeh jafaa-e-ghum ka chaara, woh nijaat-e-dil ka aalam,
Tera husn dast-e-Isah, teri yaad roo-e-Mariam.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Jab woh jamaal-e-dilfaroz, soorat-e-mehar-e-neem roz,
Khud hi ho nazzaara soz, parde mei’n muu’nh chhipaae kyo’n.
Author : Mirza Ghalib

Go haseen-e-taaza hai har lahza maqsood-e-nazar,
Husn se mazboot paimaan-e-wafa rakhta hoo’n mai’n.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on HUSN : 830