donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
IBADAT
جو تجھ کو پسند آئے ہنر دے اللہ
جینے کا وہ اندازِ دیگر دے اللہ
دنیا کے ستم کی نہ کروں میں پ
Author : Mushtaq Darbhangwi

Ghar-se masjid hai bahut dooor,
chalo yu'n kar-le'n!
Kisi rote-huye bachche-ko
ha'saaya jaaye.
Author : Nida Fazli

Ibadat Khuda ki ba-umeed-e-hoor,
Magar tujh ko zahid, haya kuchh nahi’n.
Author : Imdad Asar

Banda parwar, mai’n woh banda hoo’n, ke bahr-e-bandgi,
Jis ke aage sar jhuka doo’nga, Khuda ho jaaega.
Author : Azad Ansari

Bandgi mei’n bhi woh azad-o-khud bee’n hai’n ke hum,
Ulte phir aae dar-e-kaaba agar wa na hua.
Author : Mirza Ghalib

Sijda nigah-e-shauq Se, aur dil se guftagoo,
Hoti hai istarah bhi ibadat kabhi kabhi.
Author : Ehsan Danish

Chalta nahi’n hai mahfil-e-husn-e-jawaa’n mei’n kaam,
Har jumbish-e-nazar se ibadat kieye baghair.
Author : Josh

Janta hoo’n sawaab-e-taait-o-zuhad,
Par tabeeat idhar nahi’n aati.
Author : Mirza Ghalib

Saudagri nahi’n, yeh ibadat Khuda ki hai, 
Ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhor de. 
Author : Allama Iqbal

Bandgi mei’n bhi woh azad-o-khud bee’n hai’n ke hum,
Ulte phir aae dar-e-kaaba agar wa na hua.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on IBADAT : 843