donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
IKHLAQ

Na thi haal ki jab hame_n apne khabar,

rahe dekhte auro_n ke aib-o-hunar,

Pari apni buraaeo_n par jo nazar,

tau nigah mei_n koi bura na raha.

Author : Zafar

Khamosh, ai di, bhari mehfil mei’n chillaana nahi’n achcha,
Adab pehla qarina hai mohabbat ke qarino’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

Rok lo gar ghalat chale koi,
Baksh do gar khata kare koi.
Author : Mirza Ghalib

Na suno gar bura kahe koi,
Na kaho gar bura kare koi.
Author : Mirza Ghalib

Le saans bhi aahista, ke naazuk hai bahut kaam,
Aafaaq ki is kaargah-e-sheesha gari ka.
Author : Mir Taqi Mir

Woh kaun sa uqda hai jo waa ho nahi’n sakta, 
Himmat kare insaa’n tau kya ho nahi’n sakta!
Author : Unknown

Ta-assub chhor naadaa’n, dahar ke aaeena khane mei’n, 
Yeh tasweer’n hai’n teri jinko samjha hai bura tu ne.
Author : Allama Iqbal

Museebat mei’n bashar ke jauhar-e-mardaana khilte hai’n,
Mubarak buzdilo’n ko gardish-e-qismat se dar jaana.
Author : Chakbast

Kuchh apne paao’n ki himmat bhi chaahiye, ai peer,
Yehi nahi’n tau madadgari-e-asa maaloom.
Author : Shad Azeemabadi

Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz, 
Mir, isko raaegaa’n khota hai kya.
Author : Mir Taqi Mir

Agar jameeat-e-dil hai tujhe manzoor, qaane ho,
Ke ahl-e-hiras ke kab kaam khaatir khwah hote hai’n.
Author : Dard

Qatra darya mei’n jo mujaae, tau darya ho jaae,
Kaam achcha hai who jiska ke ma-aal achha hai.
Author : Mirza Ghalib

Yaqee_n muhkam, amal paiham, mohabbat faateh-e-

aalam,

Jihaad-e-zindgaani mei_n yeh ham mardo_n ki

shamsheere_n.

Author : Allama Iqbal

Dard-e-dil ke waaste paida kiya insaan ko,
Warna taait ke lieye kuch kam na the karr-o-bayaa’n.
Author : Dard

Zindagi zinda dili ka naam hai,
Murda dil khaak jiaa karte hai’n.
Author : Nasikh

Sabko hans kar milne waale, humko kisi se bair nahi’n,
Duniya hai mahboob hame’n, aur hum duniya ko pyaare hai’n.
Author : Jamil Mallick

Mita de apni hasti ko agar kuchh martaba chaahe,
Ke daana khaak mei’n mil kar gul-e-gulzaar hota hai.
Author : Allama Iqbal

Jahaa’n mei’n ahl-e-eemaa’n soorat -e-khursheed jeete hai’n,
Idhar doobe udhar nikle, udhar doobe idhar nikle.
Author : Allama Iqbal

Saadiq hoo’n apne qaul mei’n, Ghalib khuda gawah,
Kahta hoo’n sach, ke jhoot ki aadat nahi’n mujhe.
Author : Mirza Ghalib

Aaeen-e-jawaa’n mardaa’n, haq goi-O-bebaaki,
Allah ke shero’n ho aati nahi’n roobaahi.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on IKHLAQ : 1917