donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
INSAAN
کب زیب کسی سے بھی خصومت رکھنا
فطرت نہیں انساں کی عداوت رکھنا
دشوار ہے مانا رہِ الفت لی
Author : Mushtaq Darbhangwi

kha gaya insaan ko ashoob e maash
aa gai hein shehar bazaroon kay beech

koi uss kafir ko uss lamhay sunay
guftagoo karta hai jab yaroon kay beech

ehal e dil kay darmayaan thai meer tum
aab sukhan hai shubda karoon kay beech
Author : Obaidullah Aleem

jis kay dil tootnay ki battein theen
aaj woh aadmi hee toot gaya
Author : Obaidullah Aleem

Farishte se behtar hai insaa’n ban-na,
Magar ismei’n lagti hai mehnat zayaada.
Author : Hali

Kyo’nkar na aae khuld se aadam zameen par,
Mauzoo’n wahi’n woh khoob hai Jo shai jaha’n ki hai.
Author : Dagh

Badan sa shahar nahi’n, dil sa baadshah nahi’n, 
Hawaas-e-khamsa se behtar koi sipaah nahi’n.
Author : Aatish

Jab jab kabhi socha hai, dil thaam liya mai’n ne,
Insaan ke haatho’n se insaa’n pe Jo guzri.
Author : Firaq Gorakhpuri

Jaanwar, aadmi, farishta, Khuda,
Aadmi ki hai’n sai’nkro’n qisme’n.
Author : Hali

Kya qayamat hai ke is daur-e-taraqqi mei’n, Jigar,
Aadmi se aadmi ka haq ada hota nahi’n.
Author : Jigar

Nahi’n jaati kaha’n tak fikar-e-insaani nahi’n jaati,
Magar apni haqeeqat aap pahchaani nahi’n jaati
Author : Jigar

Qadam insaan ka raah-e-dahar mei’n tharra hi jaata hai,
Chale koi kitna hi bach ke thokar kha hi jaata hai.
Author : Josh

Hazaaro’n saal nargis apni be-noori pe roti hai,
Bari mushkil se hota hai, chaman mei’n deeda-war paida.
Author : Allama Iqbal

Pukhta tabo’n par hawaadis ka nahi’n hota asar,
Kohsaaro’n mei’n nishaan-e-naqsh-e-pa milta nahi’n.
Author : Akber Allahabadi

Tau phir kya hai agar yeh husn-e-fitrat,
Ma-aal-e-laghzish-e-aadam nahi’n hai.
Author : Jigar

Nazar ho khwah kitni hi haqaaiq aashna,
 phir bhi
Hajoom-e-kashmakash mei’n aadmi ghabra hi jaata hai.
Author : Josh

Teri khaak mei’n hai agar sharar tau khayaal-e-fuqar-o-ghana na kar,
Ke jaha’n mei’n naan-e-shaeer par hai madaar-e-quwwat-e -Hyderi.
Author : Allama Iqbal

Bulandi chaahieye insaan ki fitrat mei’n poshida,
Koi ho bhes lekin shaan-e-sultaani nahi’n jaati.
Author : Jigar

Mard kahte hai’n use, ai maang choti ke ghulam,
Haath inei’n ho jiske toofani anaasir ki lagaam.
Author : Josh

Bas ke dushwaar hai har kaam ka aasaa’n hona,
Aadmi ko bhi muyassar nahi’n insaa’n hona.
Author : Mirza Ghalib

Yoo’n agar dekhiye, kya kuchh nahi’n yeh musht-e-ghubar
Aur agar sochieye tau khak bhi insaa’n mei’n nahi’n.
Author : Datariya Kaifi

Hai aadmi bajaaey khud ik mahshar-e-khayaal,
Hum anjuman samajhte hai’n khilwat hi kyo’n na ho.
Author : Mirza Ghalib

Jo uljhi thi kabhi aadam ke haatho’n,
Woh guththi aaj tak suljha raha hoo’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Mai’n khizaa’n bhi hoo’n, mai’n bahaar bhi, meri zindagi a
Hai woh zindagi,
Ke misaal-e-barg-e-gul-e-chaman, Jo gahe kafan, gahe
pairahan.
Author : Firaq Gorakhpuri

Bahut ji khush hua Hali se milkar,
Abhi kuchh log baaqi hai’n jahaa’n mei’n.
Author : Hali

Saja sanwaar ke jisko hazaar naaz kieye,
Usi pe khaaliq-e-kauneen sharmsaar sa hai.
Author : Kaifi Aazmi

Zafar aadmi usko na jaaneaga, woh ho kitna hi sahib-e-fahm-o-zaka,
Jise aish mei’n yaad-e-Khuda na rahi, use taish mei’n
khauf-e-Khuda na raha.
Author : Zafar

Beet gaye hai’n laakh jug soo-e-watan chale hue,
Pahu’nchi hai aadmi ki zaat chaar qadam kashaan, kashaan.
Author : Firaq Gorakhpuri

Baghe-bahisht se mujhe hukam-e-safar diya tha kyo’n,
Kaar-e-jahaa’n daraaz hai, ab mera intezaar kar.
Author : Allama Iqbal

Baghe-bahisht se mujhe hukam-e-safar diya tha kyo’n,
Kaar-e-jahaa’n daraaz hai, ab mera intezaar kar.
Author : Allama Iqbal

Kahi’n mai’n aqal aara hoo’n, kahi’n Majnu’n hoo’n, ruswa hoon, 
Kahi’n mai’n peer-e-daana hoo’n, kahi’n main tifl-e-naadaa’n hoo’n.
Author : Zafar

Dard-e-dil, paas-e-wafa, jazba-e-eemaa’n hona,
Aadmeeat hai yehi, aur yehi insaa’n hona
Author : Chakbast

Na kisi ki aa’nkh ka noor hoo’n, na kisi ke dil ka qaraar hoo’n, 
Jo kisi ke kaam na aa sake, mai’n woh ek musht-e-ghubaar
Hoo’n.
Author : Zafar

Makaa’n fani, makee’n aani, azal tera, abad tera,
Khuda ka aakhiri paighaam hai tu, jaavedaa’n tu hai,
Author : Allama Iqbal

Be khabar, tu jauhar-e-aaeena-e-ayyaam hai,
Tu zamaane mei’n Khuda ka aakhiri paighaam hai.
Author : Allama Iqbal

Mat sahl hame’n jaano, phirta hai falak barso’n,
Tab khaak ke pardey se insaa’n nikalte hai’n.
Author : Mir Taqi Mir

Be khabar, tu jauhar-e-aaeena-e-ayyaam hai,
Tu zamaane mei’n Khuda ka aakhiri paighaam hai.
Author : Allama Iqbal

Bawajoode ke par-o-baal na the aadam ke,
Wahaa’n pahu’ncha ke farishte ka bhi maqdoor na tha.
Author : Dard

Arooj-e-aadam-e-khaaki se anjum sahme jaate hai’n,
Ke yeh toota hua taara mah-e-kaamil na ban jaae. 
Author : Allama Iqbal

Is butkade mei’n maani ka kis se kare’n sawaal,
Aadam nahi’n hai, soorat-e-aadam bahut hai yaa’n.
Author : Mir Taqi Mir

Kyo’n gardish-e-mudaam se ghabra na jaae dil,
Insaan hoo’n, payala-o-saaghir nahi’n hoo’n mai’n.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on INSAAN : 2275