donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
INTEZAAR
Hosh-o-hawaas, taab-o-tawaan, fikr-e-shaairy
sab kuchh lutaa diya hai, tere intezaar mein
Author : Kalim Akhtar

	Subh hote hi yeh khayaal aaya
	kyon tira intezaar karte hain
Author : Kalim Akhtar

Wafa-ke naam-pe waada tha, sarphira-hi sahi,
Ye intezaar toh har-har qadam-pe hona tha.
Author : Shahid Jameel

Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote
bagh mei’n phool khil gaye hote
ap ne yu’n hi ghoor kar dekha
honth to yu’n bhi sil gaye hote
Author : Abdul Hamid Aadam

Shayad abhi hai rakh mei’n koi sharar bhi,
Kyo’n varna intezaar bhi hai iztirar bhi,
Dhyan a gaya hai marg-e-dil-e-na murad ka,
Milne ko mil gaya hai suku’n bhi, qarar bhi.
Author : Ada Jafri

Ibadat Khuda ki ba-umeed-e-hoor,
Magar tujh ko zahid, haya kuchh nahi’n.
Author : Imdad Asar

Banda parwar, mai’n woh banda hoo’n, ke bahr-e-bandgi,
Jis ke aage sar jhuka doo’nga, Khuda ho jaaega.
Author : Azad Ansari

Janta hoo’n sawaab-e-taait-o-zuhad,
Par tabeeat idhar nahi’n aati.
Author : Mirza Ghalib

Chalta nahi’n hai mahfil-e-husn-e-jawaa’n mei’n kaam,
Har jumbish-e-nazar se ibadat kieye baghair.
Author : Josh

Sijda nigah-e-shauq Se, aur dil se guftagoo,
Hoti hai istarah bhi ibadat kabhi kabhi.
Author : Ehsan Danish

Bandgi mei’n bhi woh azad-o-khud bee’n hai’n ke hum,
Ulte phir aae dar-e-kaaba agar wa na hua.
Author : Mirza Ghalib

Saudagri nahi’n, yeh ibadat Khuda ki hai, 
Ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhor de. 
Author : Allama Iqbal

Taaseer-e-intezaar ne yeh haal kar diya,
Aankhe’n khuli hui hai’n magar dehhte nahi’n.
Author : Akber Allahabadi

Koi aaya, na aaega, lekin,
Kya kare’n, gar na intezaar kare’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Yeh rnuhlat-e-kam jise kahte hai’n umr,
Dekho tau intezaar sa hai kuchh.
Author : Mir Taqi Mir

Thak gaye hum karte karte intezaar,
Ik qayaamat unka aana ho gaya.
Author : Akhter Sheerani

Waada aane ka wafa kijieye, yeh kya andaaz hai,
Tum ne kyo’n saunpi hai mere ghar hi darbaani mujhe.
Author : Mirza Ghalib

Na jaana ke duniya se jaata hai koi,
Bahut der ki rneharbaa’n aate aate.
Author : Dagh

Hai kiska intezaar ke khwab-e-adarn se bhi,
Har baar chaunk parte hai’n aawaaz-e-pa ke saath.
Author : Momin

 
Total Visit on INTEZAAR : 1035