donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
ISHQ
Ishq nahi jo zeesht ko daulat-e-aagahi na de
Mehr nahijo khaak ko khilaat-e-roshni na de
Author : Zakia Sultana

Ham ahl-e-junoon ishq ko ruswa nahi karte
Vahshat hi sahi phir bhi tamasha nahi karte
Author : Jameela Bano

'Faraz' hum-bhi ajab bastiyo'n mei'n baste hai'n,
Kahaa'n  ka ishq? , rah-o-rasm ko taraste hai'n.
Author : Ahmad Faraz

Dil-ke mu'aamle mei'n nateeje-ki fikr kyaa?
Aage hai ishq  jurm-o-sazaa-ke maqaam se.
Author : Sahir Ludhianvi

Agar woh chahe To bhar de samundar ko surahii mei'n,
PalaT de gar surahii To, samundar hii samundar ho,
Bazahir jo qalander hai,haqiqat mei'n mujavir hai,
Usi pe ishq sajta hai,jo ander se qalander ho.
Author : Saami Aejaz

Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga
Sounke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga
Author : Shani Ahmad

Woh kah raha hia ke, tum shaad ho ke dikhlayo,
Mere beghair bhi aabad ho ke dikhlaao,
Yeh kiya ke pyar-o-mhabbat pe jee rahe ho mia,
Kisi ke ishq mei'n barbaad ho ke dikhlao.
Author : Saami Ejaz

Agar koi aag ko choole to,
Bas hatho'n me chale aaye,
Ae aatishe ishq too door se hi,
tan jhulsae, man jhulsae.
Author : Samee Aejaz

Charag-e-ishq jalane ki rat ai hai,
kisi ko apna banane ki rat ai hai ,
Falak ka chand bhi sharma ke mounh chupayega
naqab rukh se uthane ki rat ai hai. 
Author : FAIZ RATLAMI

Charag-e-ishq jalane ki rat ai hai,
kisi ko apna banane ki rat ai hai ,
Falak ka chand bhi sharma ke mounh chupayega
naqab rukh se uthane ki rat ai hai. 
Author : Faiz Ratlami

Woh ishq jo hum say rooth gaya ab us ka hal batai’n kya, 
koi mehl nahi koi ghar nahi phir sachcha sher sunain kya. 
Author : Ather Nafees

Tu kisi aur ki jagir hai ai jan-e-Ghazal, 
Log tufaa'n utha denge mere sath na chal' 
Pahle haq tha teri chahat ke chaman par mera, 
Pahle haq tha teri Khushboo-e-badan par mera. 
Author : Zafar Kaleem

Har taranum mai'n mili hai teri awaz mujhe, 
Ek hi naghma sunata hai har ek saz mujhe, 
Ishq ka bhi koi anjaam hua karata hai, 
Ishq mai'n yaad hai, aaghaz hi aaghaz mujhe. 

Author : Zia Jullundhary

Ashiqi Bedili Se Mushkil Hai
Phir Muhabbat Usi Se Mushkil Hai
Ishq Agaz Hi Se Mushkil Hai
Sabr Karana Abhi Se Mushkil Hai
  
Author : Faiz Ahmad Faiz

Jab ishq sikhata hai aadaab -e-khud-aagaahi,
Khulte hai’n ghulamo’n par, asraar-e-shahanshahi.
Author : Allama Iqbal

Jab ishq sikhata hai aadaab -e-khud-aagaahi,
Khulte hai’n ghulamo’n par, asraar-e-shahanshahi.
Author : Allama Iqbal

Aawaargaan-e-ishq ka poochha jo ma’in nishaa’n,
Musht-e-ghubar saba ne le kar ura diya.
Author : Mir Taqi Mir

Ik lafz-e-mohabbat ka adna sa fasana hai,
Sim-te tau dil-e-aashiq, phaile tau zamana hai.
Author : Jigar

Jin jin ko tha yeh ishq ka aazaar, mar gaye,
Aksar hamaare saath ke beemaar mar gaye.
Author : Mir Taqi Mir

Duniya ki fikar, deen ki baate’n, Khuda ki yaad,
Sab kuchh bhula diya tire do din ke payaar ne.
Author : Akhter Sheerani

Maayoosi-e-ma-aal-e-mohabbat na poochhieye,
Apno’n se pesh aaey hai’n begaangi se hum.
Author : Sahir

Umr saari tau kati ishq-e-butaan mei’n, Momin,
Aakhri waqt mei’n kya khaak musalmaa’n honge.
Author : Momin

Ishq par zor nahi’n hai yeh woh aatish, Ghalib,
Jo lagaaey na lage, aur bujhaae na bane.
Author : Mirza Ghalib

Mere saleeqe se meri nibhi mohabbat mei’n,
Tamaam umr mai’n na-kaamio’n se kaam liya.
Author : Mir Taqi Mir

Ishq ne, Ghalib, nikamma kar diya,
Warna hum bhi aadmi the kaam he.
Author : Mirza Ghalib

Sunte hai’n ishq naam ke guzre hai’n ik bazurg,
Hum log bhi faqir usi silsale ke hai’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Mohabbat tark ki mai_n ne, garebaa_n si liya mai_n ne,

Zamaane khush ho ab tau, zahar yeh bhi pi liya mai_n ne.

Author : Sahir

Aatish-e-ishq who jahannum hai, 
Jis mei’n firdaus ke nazzaare hai’n.
Author : Jigar

Ishq ki darya dili darkar hai
Doobne waale ka berha par hai
Author : Hasher Sahsarami

Aashiq ki bhi kat-ti hai’n, kya khoob tarah raate’n, 
Do char ghari rona, do char ghari baate’n. 
Author : Sauda

Tarke-e-mohabbat karne walo, kaun aisa jag jeet liya,
Ishq se pahle ke din socho, kaun bara sukh hota tha.
Author : Firaq Gorakhpuri

Mohabbat se shifa pai hai beemaar qaumo’n ne,
Kiya hai apne bakht-e-khufta ko bedaar qaumo’n ne.
Author : Allama Iqbal

Nahin ishq mei’n iska tau ranj hame’n ke qarar-o-shakeb
zara na raha,
Ghum-e-ishq tau apna rafeeq raha, koi sur bala se raha
na raha.
Author : Zafar

Mohabbat mei’n nahi’n hai farq jeene aur marne ka,
Usi ko dekh kar jeete hai’n, jis kafir pe dam nikle.
Author : Mirza Ghalib

Shaaid isi ka naam mohabbat hai, Shefta, 
Ik aag hai Jo seene ke ander lagi hui.
Author : Shefta

Aashqi sabar-talab aur tamanna betaab,
Dil ka kya rang karoo’n, khoon-e-jigar hone tak.
Author : Mirza Ghalib

Ishq se tabiat ne zeest ka maza paya,
Dard ki dawa pai, dard-e-la-dawa paya.
Author : Mirza Ghalib

Sakht kafir tha jin ne pahle Mir,
Mazhab-e-ishq ikhtiar kiya
Author : Mir Taqi Mir

Unka Jo aqeeda hai woh ahl-e-sayaasat jaane’n,
Mera paigham mohabbat hai, jahan tak pahu’nche.
Author : Jigar

Aashqi sabar-talab aur tamanna betaab,
Dil ka kya rang karoo’n, khoon-e-jigar hone tak.
Author : Mirza Ghalib

Shagul behtar hai ishq baazika,
 Kya haqeeqi wa kya majaazi ka.
Author : Wali

Mohabbat ko samajhna hai tau nasih khud mohabbat kar,

Kinaare se kabhi andaaza-e-toofaa_n nahi_n bota.

Author : Wali

Yeh zard zard chehra, yeh laaghri badan mei’n, 
Kya ishq mei’n hua hai, ai Mir haal tera.
Author : Mir Taqi Mir

Mohabbat ke lieye dil dhoond koi tootne wala, 
Yeh woh mai hai use rakhte hai’n naazuk aabgeeno’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

Ishq ne dil mei’n jagah ki tau qaza bhi aai,
Dard duniya mei’n jab aaya tau dawa bhi aai.
Author : Fani

Yeh ishq ne dekha hai, yeh aql se pinhaa’n hai,
Qatra mei’n sarnunder hai, zarra mei’n beaabaa’n hai.
Author : Asgher Gondvi

Woh ajab ghari thi jis ghari liya dars nuskha-e-ishq ka,
Ke kitab aql ki taak mei’n joo’n dhari thi, teo’nhi dhari rahi.
Author : Siraj Aurangabadi

Hoti nahi’n dua qabool darde-ishq ki,
Dil chahta na ho tau zabaa’n mei’n asar kahaa’n
Author : Hali

Jo rah-e-ishq mei’n qadam rakhkhe’n,
 Woh nasheb-o-faraaz kya jaane’n.
Author : Dagh

Khabr-e-tahayyur-e-ishq sun, na janoon raha, na pari rahi,
Na tau tu raha, na tau mai’n raha, jo rahi so be khabri rahi.
Author : Siraj Aurangabadi

Pukhta hoti hai agar maslahit andesh ho aql,
Ishq ho maslahit andesh tau hai khaam abhi.
Author : Allama Iqbal

Asghar hareem-e-ishq mei’n hasti hi jurm hai,
Rakhna kabhi na puao’n yahaa’n sar lieye hue.
Author : Asgher Gondvi

Ishq hai peaarey, khel nahi’n hai,
Ishq hai kaare-sheesha-o-aahan.
Author : Jigar

Kuchh aag di hawas mei’n tau taameer-e-ishq ki,
Jo khak kar diya ise irfaa’n bana diya.
Author : Asgher Gondvi

Ishq-e-la-mahdood jab tak rahnuma hota nahi’n, 
Zindagi se zindagi ka haq ada hota nahi’n.
Author : Jigar

Hoga kaso deewar ke saaya mei’n para Mir,
Kya kaam mohabbat se us aaraam talab ko.
Author : Mir Taqi Mir

Kya kahu’n tum se mai’n ke kya hai ishq,
jaan ka rog hai, bala hai ishq.
Author : Mir Taqi Mir

Husn parasti paak mohabbat ban jaati hai, jab koi, 
Wasal ki jismaani lazzat se roohaani kaifeeat le.
Author : Firaq Gorakhpuri

Mai’n kya kahu’n kaha’n hai mohabbat, kaha’n nahi’n,
Rag rag mei’n dauri phirti hai, nishtar lieye hue.
Author : Asgher Gondvi

Mir ji zard hue jaate hai’n,	
Kya kahi’n tum ne bhi kiya hai ishq?
Author : Mir Taqi Mir

Ishq hi ishq hai jaha’n dekho,
Saare aalam mei’n bhar raha hai ishq.
Author : Mir Taqi Mir

Wohi ishq rahmat, wohi ishq shaamat,
Wohi zinda kar de, wohi maar daale.
Author : Firaq Gorakhpuri

Laga na dil ko kahi’n ke suna nahi’n tu ne
Jo kuchh ke Mir ka is aashiqi ne haal kiya. 
Author : Mir Taqi Mir

Aae hai bekasi-e-ishq pe rona, Ghalib,
Kis ke ghar jaaega, sailaab-e-bala mere baad.
Author : Mirza Ghalib

Ibtedaa-e-ishq hai, rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.
Author : Mir Taqi Mir

Ishq, Mir, ek bhari pathhar hai,
Kab yeh tujh natawaa’n se uth-ta hai.
Author : Mir Taqi Mir

Hayat-e-be-mohabbat sar-ba-sar-maut,
Mohabbat zindagi ka doosra naam.
Author : Firaq Gorakhpuri

Khaloos-e-dil se pukaare jo ek baar mujhe,
Us aadmi ka abhi tak hai intezaar mujhe.
Author : Firaq Gorakhpuri

Hazaar baar zamana idhar se guzra hai, 
Nai nai si hai tiri rahguzar phir bhi.
Author : Firaq Gorakhpuri

Agar bakhshe zahe rahmat, na bakhshe tau shikait kya,
Sar-e-tasleem kham hai jo mizaaj-e-yaar mei’n aae.
Author : Aatish

Apne milne se mana mat kar
Ismei’n be-ikhtiar hai’n hum bhi.
Author : Dard

Anokhi waza hai saare zamane se nirale hai’n,
Yeh aashiq kaunsi basti ke yaarab rahne waale hai’n.
Author : Allama Iqbal

Kahta hai kaun mala-e-bulbul ko be asar,
Pardey mei’n gli ke laakh jigar chaak ho gaye,
Author : Mirza Ghalib

Allah Allah, yeh kamal-e-irtabaat-e-husn-o-ishq,
Faasle ho’n laakh, dil se dil juda hota nahi’n.
Author : Jigar

Mohabbat mei’n miri tanhaaeo’n ke hai’n kai unwaan, 
Tira aana, tira milna, tira uthna, tira jaana.
Author : Firaq Gorakhpuri

Bayabaan-e-mohabbat dasht-e-ghurbat bhi, watan bhi hai,

Yeh weerana qafas bhi, aashiana bhi, chaman bhi hai.

Author : Allama Iqbal

Har chand mai’n ne shauq ko pinhaa’n kiya, wale,
Ek aadh harf payaar ka mu’nh se nikal gaya.
Author : Mir Taqi Mir

Aashiqi qaid-e-shareeat mei’n jab aajaati hai,
Jalwa-e-kasrat-e-aulaad dikha jaati hai.
Author : Akber Allahabadi

Azeeat, museebat, malaamat, balaae’n,
Tire ishq mei’n hum ne kya na dekha!
Author : Dard

Har chand mai’n ne shauq ko pinhaa’n kiya, wale,
Ek aadh harf payaar ka mu’nh se nikal gaya.
Author : Mir Taqi Mir

Tum mere paas hote ho goya,
Jab koi doosra nahi’n hota.
Author : Momin

Jise ishq ka teer kaari lage,
Use zindagi kyo’n na bhaari lage.
Author : Wali

Bulbul ke kaarobaar pe hai’n khandahaae gul,
Kahte hai’n ishq jis ko khalil hai dimaagh ka.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on ISHQ : 3675