donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
JAWANI
	Bahut pyaasi hai, paani mangti hai
	ghazal apni jawani mangti hai
Author : Kalim Akhtar

Agar mujhe na mili tum tumhare sar ki qasam, 
Mai apani sari jawani tabah kar loo’nga, 
Mujhe jo dair-o-haram mei’n kahi’n jagah na mili, 
Tere Khayal hi ko sajdaah kar loo’nga. 
Author : Akhter Sheerani

Qissa na khani hai jawani meri,
Ik yaad dahani hai jawani meri,
Tohfa yeh wohi dei ke gaya hai mujh ko,
Bachpan ki nishani hai jawani meri.
Author : Kalim Aajiz

Hai jawani khud jawani ka singaar,
Saadgi gahna hai is sin ke lieye.
Author : Ameer Minai

Tab the sipaahi, ab hai’n jogi, ah, jawani yoo’n kaati,
Aisi thori raat mei’n hum ne kya kya swaang banaaey hai’n.
Author : Mir Taqi Mir

Mubarak ho zaeefi ko khirad ki falsafa daani,
Jawani be niaaze-ibrat-e-anjaam hai, saqi.
Author : Sahir

Raat bhi, neend bhi, kahaani bhi,
Haae kya cheez hai jawani bhi.
Author : Firaq Gorakhpuri

Kyon, ai falak, Jo hum se jawani juda hui,
Ik khud ba-khud jo dil mei’n khushi thi woh kya hui.
Author : Shad Azeemabadi

Jab jawaani ki dhoop dhalti hai, 
Khud sari sar jhuka ke chalti hai. 
Author : Ehsan Danish

Har ada mastana sar se paao’n tak chhaai hui, 
Uf! teri kaafir jawaani josh par aai hui! 
Author : Dagh

Mehtarani ho ke rani gungunaaegi zaroor,
Koi mausim ho jawani geet gaaegi zaroor.
Author : Josh

Yahi tau ham do satoon-e-mukkam, inhi pe qaayam hai
nazm-e-aalam,
Yahi tau hai raaz-e-khuld-e-Adam, nigah meri, shabaab tera.
Author : Josh

Dil-o-dimagh hai ab kisko zindgaani ka, 
Jo koi dam hai tau afsos hai jawaani ka.
Author : Mir Taqi Mir

Jawaa’n hoo’n mai’n, jawaani laghzisho’n ka ek toofaa’n hai, 
Meri baato’n mei’n rang-e-paarsaai ho nahi’n sakta. 
Author : Sahir

Shabaab aaya, kisi but par fida hone ka waqt aaya, 
Meri duniya mei’n bande ke Khuda hone ka waqt aaya.
Author : Hari Chand Akhter

Mai-e-rangeen tha saada paani bhi, 
Hae, kya cheez thi jawaani bhi! 
Author : Josh

 
Total Visit on JAWANI : 2062