donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KARWAAN
Mai’n akela hi chala tha jaanib-manzil, magar,
Log saath aate gaye aur karwaa’n banta gaya. 
Author : Majrooh Sultanpuri

Tu bhi aamaada-e-safar ho,Firaq
Qaafile ustaraf lage jaane.
Author : Firaq Gorakhpuri

Raftgaa’n ke jahaa’n mei’n hum bhi ham,
Saath is karwaa’n ke hum bhi ham.
Author : Mir Taqi Mir

Qaafile mei’n subah ke ik shor hai,
Yaani ghaafil hum chale, sota hai kya!
Author : Mir Taqi Mir

Sar zameen-e-Hind par aqwaam-e-aalam ke Firaq,
Karwaa’n aate gaye, Hindustan banta gaya.
Author : Firaq Gorakhpuri

Safar karte hue manzil ba manzil ja rahe hai’n hum,
Mujhe yeh saari duniya karwaa’n maaloom hoti hai.
Author : Mehroom

 
Total Visit on KARWAAN : 936