donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KHAAR
Gulshan parast hoo’n, magar gul hi nahi’n aziz,
Kaanto se bhi nibaah kieye ja raha hoo’n mai’n.
Author : Jigar

In aablo’n se paao’n ke ghabra gaya tha mai’n,
Ji khush hua hai raah ko pur khaar dekh kar.
Author : Mirza Ghalib

Phir bahaar aai, wohi dasht-nawardi hogi,
Phir wohi paao’n, wohi khaar-e-mughelaa’n honge.
Author : Momin

Kaanto’n ka bhi haq hai, peaarey,
Kaun chhuraae apna daaman.
Author : Jigar

Mai’n phool chun-ne aaya tha baagh-e-hayaat mei’n,
Daaman –o- khaarzaar mei’n uljha he rah gaya.
Author : Unknown

Bahut hasee’n sahi suhbate’n gulao’n ki, magar,
Woh zindagi hai Jo kaanto’n ke darmiaa’n guzre.
                                                           
Author : Jigar

Kaanto’n hi zabaa’n sookh gai pyaas se yaarab,
Koi aabla pa waadi-e-pur khaar mei’n aawe.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on KHAAR : 623