donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KHAMOSHI
Raat bhar bunta raha Khwabon ko main jiske liye
rah gayee khaamosh woh raaton kee raani saamne
Author : Kalim Akhtar

	Mere wajood ke andar tha aik hangama
	mere wajood ko kyon chaatti hai khaamoshi
Author : Kalim Akhtar

	Shor tha, khamoshi thee, wasl tha, judaayee thee
	raat kis musibat mein pad gayee parindon kee
Author : Kalim Akhtar

Baahar baahar khaamushi hai, andar-andar hangama
kaisi hai yeh jism kee hiddat, baahar kuchh aur andar kuchh
Author : Kalim Akhtar

	Is tarah khaamushi ke jharno mein
	aur kabtak nahayegi aawaaz?
Author : Kalim Akhtar

Khamosh rahna hai, ai ahl-e-dard yu'n kab-tak?

Rag-e-guloo mei'n chubhegi ye mauj-e-khu'n kab-tak?
                        
Author : Shahryar

Chup rahu'n aur usay malaal na ho,
Ankahee ka  toh  aisaa haal na ho.
                      
Author : Wazir Agha

Ya tau deewaana hanse, ya jis ko tu taufeeq de, 
Warna is duniya mei’n kya hai muskarane ke lieye
Author : Unknown

Har shab shab-baraat hai, har roz roz-e-Eid, 
Sota hoo’n haath gardan-e-meena mei’n daal kar
Author : Unknown

Kabhi dekha tha itna Dagh ko khush, 
Chale aate ham yeh hazrat wahi’n se.
Author : Dagh

Kya sabab shad hai bashaash hai ji aap hi aap,
Chali aati hai mujhe aaj hansi aap hi aap.
Author : Dagh

Inhi_n ghum ki ghataao_n se khushi ka chaand chamkega,

Andheri raat ke pardo_n mei_n din ki roshni bhi hai.

Author : Akhter Sheerani

Falak deta hai jin ko aish, unko ghum bhi hote hai’n,
Jaha’n bajte hai’n naqqare, waha’n maatam bhi hote hai’n.
Author : Dagh

Ik parda hai ghamo’n ka jise kahte hai’n khushi, 
Hum tabassum mei’n nihaa’n ashk.e-rawa’n dekhe hai’n.
Author : Akhter Sheerani

Zikar-e-naal chher kar, aur ghazab kiya nadeem,
Saait-e-aish thi hi kya, aur qaleel ho gai.
Author : Ali Akhtar Akhtar

Gar khaamshi se faaida-e-akhfaa-e-haal hai,
Khush hoo’n ke meri baat samajhni mahaal hai.
Author : Mirza Ghalib

Ise sayyaad ne kuchh, gul ne kuchh, bulbul ne kuchh samjha,
Chaman mei’n kitni maani-khez thi ik khaamshi meri.
Author : Jigar

Baat par waa’n zabaan kat-ti hai,
Woh kahe’n aur suna kare koi.
Author : Mirza Ghalib

Yeh dastoor-e-zabaa_n bandi hai kaisa teri mehfil mei_n,

Yahaa_n tau baat karne ko tarasti hai zabaa_n meri.

Author : Allama Iqbal

Nahi’n mannat kash-e-taab-e-shuneeda’n daastaa’n meri,
Khamoshi guftagoo hai, be-zabaani hai zaba’n meri.
Author : Allama Iqbal

Na rahi taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhi,
Tau kis umeed pe kahieye ke aarzoo kya hai.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on KHAMOSHI : 985