donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KHAYAAL

Mere shair hain kisi aur ke usay bolta koyi aur hai
MaiN khyaal hun kisi aur ka mujhay sochta koyi aur hai
Kabhi aayine pe nazar padi toh gumaaN yaqeen mayn bdal gaya
MaiN toh AHL huN kisi HUUR ka, meri AHLIYA koyi aur hai

 

Author : Khalid Razvi

Kuchh baat to zaroor hai rang-e-ghazaal mein
yoohin nahin jamal ka paikar khayaal mein
Author : Kalim Akhtar

Jee bhar ke dekh leta hoon main aayena-badan
aata hai yaad jab bhi sitamgar khayaal mein
Author : Kalim Akhtar

	Subh hote hi yeh khayaal aaya
	kyon tira intezaar karte hain
Author : Kalim Akhtar

Lijiye bula liya aapko khayal meiN 
Ab to dekhiye hameN koi dekhta nahiN
Author : Afsar Meeruthi

Mai kaise chorh doo jeena, barhi mushkil se seekha hai,
Ghamo',n ke saaye mei'n rahna barhi mushkil se seekha hai,
Mai sab ke saamne kahdoo,mujhe tum se mohabbat hai,
Tumhare samne kahna barhi mushkil se seekha hai,
Author : Saami Aejaz

Hoo’n garmi-e-nishaat-e-tasawwur se naghma sanj, 
Mai’n andleeb -e-gulshan-e- na aafreeda hoo’n.
Author : Mirza Ghalib

Woh aalam hota hai mujh par jab fikar-e-ghazal mai’n karta hoo’n,
Khud apne khayaalo’n ko humdam mai’n haath lagaate darta hoo’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Hasti ke mat fareb mei’n aa jaaeo, Asad,
Aalam tamaam halqa-e-daam-e-khayaal hai.
Author : Mirza Ghalib

Tere khayaal se rooh ehtezjaaj karti hai, 
Ba jalwa rezi-e-baad-o-ba-parafshaani-e-shama.
Author : Mirza Ghalib

Tabiat apni ghabraati hai jab sunsaan raato’n mei’n, 
Tau aise mei’n tiri yaado’n ki chaadar taan lete hai’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Naqsh-e-khayaal dil se mitaaya nahi’n hanooz,
 Be-dard mai’n ne tujh ko bhulaya nahi’n hanooz.
Author : Josh

Deedaar baada, hausla saqi, nigah mast,
 Bazm-e-khayaal maikada-e-be-kharosh hai.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on KHAYAAL : 1133