donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KHIZAR
Samet sakta ho tum jeet apni mutthi mei'n,
Hame;n to pahle hi aadat hai haar jaane ki,
Hame'n khabar hai kisi roz chhod jaaoge,
Nahi hai tum ko zaroorat kisi bahaane ki
Author : Faakhra Batol

Kya kiya Khizar ne Sikander se,
Ab kise rahnuma kare koi.
Author : Mirza Ghalib

Jeena jo aagaya tau ajal bhi hayaat hai,
Aur yoo’n tau umr-e-Khizar bhi kya be-sabaat hai.
Author : Firaq Gorakhpuri

Be sarfa hi guzarti hai ho garche umr-e-Khizar,
Hazrat bhi kal kahe’nge: hum ne kya kya kieye!
Author : Mirza Ghalib

Ho umr-e-Khizar bhi tau ho maaloom waqt-e-marg,
Hum kya rahe yahaa’n, abhi aae, abhi chale.
Author : zauq

Barso’n taein jahaa’n mei’n kyo’nkar raha hai Khizar,
Mai’n chaar din ke jeene mei’n bezaar ho gaya.
Author : Mir Taqi Mir

Laazim nahi’n ke Khizar ki hum pairwi kare’n,
Maana ke ik bazurg hame’n hum safar mile.
Author : Mirza Ghalib

Taqleed ki rawish se tau behtar hai khud-kushi,
Rasta bhi dhoond, Khizar ka sauda bhi chhor de. 
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on KHIZAR : 1447