donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KHUDA
	Ai khuda muntazir hain barson se
	aur kabtak hidaayetein gumsum?
Author : Kalim Akhtar

	Aik ehsas hai khuda kiya hai?
	is tasawwur mein doobna kiya hai
Author : Kalim Akhtar

	Is saadgi ko kaun na apnaaye ai khuda!
	dil haath bhi uthata nahin aur dua buland
Author : Kalim Akhtar

MaiN aap apni talaash meiN hooN 
Mera koi rahnuma nahiN hai 
Woh kya dikhayeNge raah mujhko 
Jinhe khud apna pataa nahiN hai 
Ye inke mandir, ye inki masjid 
Ye zarparastoN ki sajdaagaheN 
Agar ye inke khuda ka ghar hai 
To inmeiN mera khuda nahiN hai
Author : Raz Allahabadi

BarsoN se tere naam pe khaata raha fareb 
Mere khuda kahaN hai tu apna pata to de
Author : Saeed Raahi

NahiN milte na miliye khair koi mar na jaayega
Khuda ka shukra hai pahle mohabbat aapne kam ki
Author : AGHA SHAYER

Mein Khuda ka kabhi bhi na shukar ada kar paonga 
Par usse kitna chahta hoon ye dunya ko dikhaonga 
Log to pyar ke naam ko aise badnaam kar dete hein 
Mein pyar ke iss paak naam ko ik naya naam de jaonga
Author : Wakas Mir

Milaye hum se jo aisi nazar nahin koi 
Hamari tarah ka rakhta jigar nahin koi 
Khuda gavah ke apna to ghar nahin koi 
Dayar ghair mein mehram agar nahin koi 
Tu faiz zikre vatan apne rubaru hi sahi 
Author : Faiz Ahmad Faiz

“Humse tu is kadar khafa kya hai
Tu Sanam hai ke hai Khuda kya hai
Hum khade hain jhukaye sar kabse
Tegh  utha tegh dekhta kya hai"
Author : Qamar Jalalabadi

Hum mutma'in ha'n uski razaa-ke  baghair-bhi,
Har-kaam chal rahaa hai,  khuda-ke baghair-bhi.
Author : Sultan Akhtar

Tu sab se Aalaa,Tu sab se Bartar
Azmat jo hai woh Tere liye hai
Shaukat jo hai woh Tere liye hai
Allah-o-Akbar , Allah-o-Akbar
Author : Tanweer Phool

bananaa padaa hai aap hii apanaa Khudaa mujhe 
kis kufr kii milii hai bhalaa ye sazaa mujhe
Author : Salman Akhter

Tujhe DhonDhta tha mai charsoo, 
Teri shan jalle jalal hoo , 
Tu mila qarib-e-khoj loo’n, 
Teri shan jalle jalal hoo, 
Teri yad mai’n hai kali-kali, 
Hai chaman chaman mai’n hubbal ali 
Tu basa hai phool mai’n hu baho, 
Teri shan jalle jalal hoo, 
Author : Chiragh Hasan Hasrat

Duniya se dil lagakar duniya se kya milega ,
yaad-e-Khuda kiye ja tujh ko Khuda milega ,
Daulat ho ya hukomat taqat ho ya jawani, 
har cheez mitne wali har cheez aani-jaani, 
Author : Chiragh Hasan Hasrat

Zamee’n bhi teri hai, maalik gulam bhi tere hai’n
Kabhi Too mere khuda, apne aasmaa’n se nikal
Author : Shamim Farooqui

Uske farogh-e-husn sejhamke hai sab mei’n noor,
Shama-e-haram ho ya he diya Somnath ka.
Author : Mir Taqi Mir

Har zarra chamakta hai anwaar-e-ilahi Se,
Har saans yeh kahti hai, hum hai’n tau Khuda bhi hai.
Author : Akber Allahabadi

Hum muwahaad hai’n, hamaara kaish hai tark-e-rasoom,
Millate’n jab mit gaei’n, ijzaa-e-eemaan ho gaei’n.
Author : Mirza Ghalib

Tha woh tau rashk-e-hoor-e-bahishti hamee’n mei’n, Mir,
Samjhe na hum tau fahm ka apni qasoor tha.
Author : Mir Taqi Mir

Sab ke dii mei’n hal jagah teri, jo tu raazi hua,
Mujh pe goya ik zamaana meharbaa’n hojaaega.
Author : Mirza Ghalib

Ghafil Khuda ki yaad pe mat bhool, zeenhaar,
Apne taei’n bhula de agar tu bhula sake.
Author : Dard

Tha mustaar husn ke uske jo noor tha,
Khursheed mei’n bhi us hi ka zarra zahoor tha.
Author : Mir Taqi Mir

Arz-o-sama kaha’n teri wusat ko pa sake,
Mera hi dil hai woh ke jahaa’n tu sama sake.
Author : Dard

Jab ke tujh bin koi nahi’n maujood,
Phir yeh hangaamaa, ai Khuda, kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Saudaagri nahi’n, yeh ibaadat Khuda ki hai,
Ai, be khabar, jizaa ki tamanna bhi chhor de.
Author : Allama Iqbal

 Kaaba kis mu’nh se jaaoge, Ghalib,
Sharm, tum ko magar nahi’n aati.
Author : Mirza Ghalib

Chamak teri ayaan bijli rnei’n, aatish rnei’n, sharaare mei’n,
Jhalak teri hawaida chaand mei’n, sooraj mei’n, taare mei’n.
Author : Allama Iqbal

Kabhi, ai haqeeqat-e-muntezir, nazar aa libaas-e-majaaz
Mei’n,
Ke hazaaro’n sijde tarap rahe hai’n meri jabeen-e-niaaz mei’n.
Author : Allama Iqbal

Kaun kare hai baate’n mujh se tanhaai ke parde mei’n,
Aise mei’n kis ki aawaze’n kaano’n mei’n ras ghole’n hai’n
Author : Firaq Gorakhpuri

Dagh ko kaun dene wala tha,
Jo diya, ai Khuda, diya tu ne.
Author : Dagh

Be talab jo mila, mila mujhko,
Begharzjo diya, diya tu ne.
Author : Dagh

Be talab jo mila, mila mujhko,
Begharzjo diya, diya tu ne.
Author : Dagh

Jalwe miri nigah mei’n kaun-o-makaa’n ke ham,
Mujh se kahaa’n chhipe’nge, woh aise kahaa’n ke ham.
Author : Dagh

Sauda nigah-e-deeda-e-tahqeeq ke hazoor,
Jalwa har ek zarre mei’n hai aaftaab ka.
Author : Sauda

Jinhei’n main dhoondta the aasmaano’n mei’n, zameeno’n mei’n,
Woh nikle mere zulmat khana-e-dil ke makeeno’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

Dil-o-deeda-e-ahle aalam mei’n ghar hai,
Tumhaare lieye ham makaa’n kaise kaise.
Author : Firaq Gorakhpuri

Kishti-e-dil ki Ilahi, bahr-e-hasti mei’n ho khair,
Na khuda milte hai’n, lekin ba-Khuda milta nahi’n.
Author : Akber Allahabadi

Museebat jis se zaail ho, woh saamaa’n kar dega,
Na ghabraana, Khuda sab mushkale’n aasaa’n kar dega.
Author : Shad Azeemabadi

Museebat jis se zaail ho, woh saamaa’n kar dega,
Na ghabraana, Khuda sab mushkale’n aasaa’n kar dega.
Author : Shad Azeemabadi

Jahaa’n mei’n thi bas ik afwaah tere jalwo’n ki,
 Chiragh-e-dair-o-harm jhilmilaae hai’n kya kya!
Author : Firaq Gorakhpuri

Na tha tau Khuda tha, na hota tau Khuda hota,
 Daboya mujh ko hone ne, mai’n na hota tau kya hota.
Author : Mirza Ghalib

Khuda ka matlab hai: khud mei’n aa tu, khud aagahi hai Khuda shanaasi,
Khuda ko khud se juda samajh kar bhatak raha hai idhar udhar kyon.
Author : Aamil Darvesh

Aql mei’n Jo ghir gaya, la intehaa kyo’nkar hua,
Jo samajh mei’n aa gaya, phir woh Khuda kyo’nkar hua.
Author : Akber Allahabadi

Muddaee laakh bura chaahe, magar kya hota hai,
Hota hai wohi jo manzoor-e-Khuda hota hai.
Author : Unknown

Jahaa’n toofaa’n mei’n phans kar safeena dagmagaata hai,
Wahaa’n qadar-e-Khudao-na-Khuda maaloom hoti hai.
Author : Unknown

Ashjaar khaama howe’n, Jo aab-e-seah bahaar,
Likhna na tau bhi ho sak,e uske sifaat ka.
Author : Mir Taqi Mir

Use kaun dekh sakta, ke yagaana hai woh yakta,
Jo dooi hi boo bhi hoti, tau kahi’n do chaar hota.
Author : Mirza Ghalib

Woh hai sab jagah Jo karo nazar, woh kahi’n nahi’n Jo ho be-basar,
Mujhe aaj tak na hui khabar, woh kahaa’n hai, aur kahaa’n nahi’n.
Author : Chakbast

Kya farz hai ke sab ko mile ek sa jawaab,
Aao na hum bhi sair kare’n koh-e-toor ki.
Author : Mirza Ghalib

Laakh dhoonde’n, gohar.e-maqsood mil sakta nahi’n,
Hukm gar tera na ho, patta bhi hil sakta nahi’n.
Author : Zarif Jabalpuri

Laakh naadaan sahi, aise bhi hum koor nahi’n,
Ke chaman dekh ke zikr-e-chaman-aara na kare’n.
Author : Wahshat Culkatvi

Laakh naadaan sahi, aise bhi hum koor nahi’n,
Ke chaman dekh ke zikr-e-chaman-aara na kare’n.
Author : Wahshat Culkatvi

Pata yoo’n tau bataate hai’n woh sabko laa makaa’n apna,
Magar maaloom hai rahte hai’n woh toote hue dil mei’n.
Author : Unknown

Raqeebo’n ne rapat likhwaai hai ja ja ke thaane mei’n,
Ke Akbar naam leta hai Khuda ka is zamaane mei’n.
Author : Akber Allahabadi

Safeena jab ke kinaare pe aa laga, Ghalib, 
Khuda se kya shikwa-e-jaur-e-nakhuda kahieye!
Author : Mirza Ghalib

Na kahi’n jahaa’n mei’n amaa’n mili,jo amaa’n mili tau kahaa’n mili,
Mire jurm-e-khana kharaab ko, tire ufw-e-banda nawaaz
Mei’n.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on KHUDA : 4119