donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KHUDI
Ba-qadr-e-paimaana-e-takhaiyyul suroor,
har-dil mei'n hai khudi-ka,
Agar na-ho ye fareb-e-paihum,
toh dam nikal jaaye aadmi ka.
        
Author : Jameel Mazhari

AAP BEMISL HAI'N, ZAMANE MEI'N AAPSA KOI NAZEER KAHA'N,
BHALA AAPSA AZEEM KAHA'N AUR MUJHSA BANDAYE HAQEER KAHA'N,
KAUN KAHTA HAI KE MAI BHI SHER GOYI KARTA HOO'N,
BHALA GHALIBO MEER KAHA'N AUR YE NATAWA'N MOSHEER KAHA'N.
Author : Mosheer Alam

Kachi diwar hoo'n Thokar na lagana mujh ko ,
Apni nazro mai'n basa kar na girana mujh ko .
Author : Asrar Ansari

Wafa kaisi, kaha’n ka ishq, jab sar phorna thahra, 
Tau phir, ai sangdil, tera hi sang-e-aastaan kyo’n ho!
Author : Mirza Ghalib

Baaham salook tha tau uthaate the narm garm, 
Kaahe ko Mir koi dabe, jab bigar gai.
Author : Mir Taqi Mir

Bandagi mei’n bhi woh azad-O-khud been hai’n ke hum 
Ulte phir aaey dar-e-kaaba agar waa na hua.
Author : Mirza Ghalib

Khudi ka raazdaa’n ho kar, khudi ki daastaa’n hoja, 
Jahaa’n se kya gharz tujhko, tu aap apna jahaa’n ho ja.
Author : Arsh Malsiani

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pahle,
Khuda bande se khud poochhe, bata teri raza kya hai.
Author : Allama Iqbal

Ab bhi dimaagh-e-rafta hamaara hai arsh par 
Go aasmaa’n ne khaak mei’n hum ko mila diya.
Author : Mir Taqi Mir

Dil hamaara jazba-e-ghairat ko kho sakta nahi’n, 
Hum kisi ke saamne jhuk jaaen, ho sakta nahi’n.
Author : Josh

Diya apni khudi ko jo hum ne mita, who jo parda sa beech mei’n tha, na raha,
Parde mei’n ab na woh parda nashee’n, koi doosra uske siwa na raha.
Author : Zafar

Hai’n aaj kyo’n zaleel, ke kal tak na thi pasand,
 Gustaakhi-e-farishta hamaari janaab mei’n.
Author : Mirza Ghalib

Jab ishq sikhaata hai aadaab-e-khud-aagaahi, 
Khulte hai’n ghulaamo’n par asraar-e-shahnshaani.
Author : Allama Iqbal

Raah-e-khuddari se mar kar bhi bhatak sakte nahi’n,
Toot tau sakte hai’n hum, lekin lachak sakte nahi’n. 
Author : Josh

Ai taair-e-laahooti, us rizq se maut achhi,
Jis rizq se aati ho parwaaz mei’n kotaahi.
Author : Allama Iqbal

Sar kaso se faro nahi’n aata, 
Haif bande hue, Khuda na hue!
Author : Mir Taqi Mir

 
Total Visit on KHUDI : 1500