donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KHULD/JANNAT
Taskeen ko hum na roei’n jo zauq-e-nazar mile,
Hooraane-khuld mei’n teri soorat magar mile.
Author : Mirza Ghalib

Woh cheez jiske lieye hum ko ho bahisht azeez,
Siwaae baadaa-e-gulfaam-o-mushkboo kya hai!
Author : Mirza Ghalib

Jahaa’n laakho’n baras ki hoore’n ho’n,
Aisi jannat ka kya kare koi!
Author : Mirza Ghalib

Tera milna, tera nahi’n milna,
Aur jannat hai kya, jahannum kya?
Author : Jigar

Jaae hai ji nijaat ke ghum mei’n,
 Aisi jannat gai jahannum mei’n.
Author : Mir Taqi Mir

Sunte hai’n jo bahisht ki taarif ,sab darust,
Lekin Khuda kare woh tira jalwa gaah ho!
Author : Mirza Ghalib

In pareezaado’n se lei’nge khuld mei’n hum inteqaam,
Qudarat-e-haq se agar hoore’n yehi waa’n ho gaei’n.
Author : Mirza Ghalib

Taait mei’n ta rahe na mai-o-angbee’n ki laag,
Dozakh mei’n daal do koi le kar bahisht ko.
Author : Mirza Ghalib

Hum ko maaloom hai jannat ki haqeeqat, lekin,
Dil ke khush rakhne ko, Ghalib, yeh khayaal achha hai
Author : Mirza Ghalib

Kya hi Rizwaa’n se laraai hogi,
Ghar tira khuld mei’n gar yaad aaya.
Author : Mirza Ghalib

Thukra de gulshan-e-jannat ko, hai shaan yehi khuddaari ki,
Nikaala tha jis ko jannat se, tu us Adam ka pota hai. 
Author : Hafeez

Us ki gali kahaa’n, yeh tau kuchh baagh-e-khuld hai,
Kis jaae mujhko chhor gai rnaut laa ke saath.
Author : Momin

Nikalna khuld se Adam ka sunte aae the, lekin,
Bare be-aabroo ho kar tere kooche se hum nikle.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on KHULD/JANNAT : 1636