Kaun deta hai dar-e-khwab pe tastak shab-bhar
kiska chera meri aankhon mein basaa rehta hai
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Raat bhar bunta raha Khwabon ko main jiske liye
rah gayee khaamosh woh raaton kee raani saamne
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Isse aage mire iflaas kee roodaad na poochh
dil yuhin “taat” pe be-khwab pada rehta hai
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Khwabon mein raat aaya tha kis dasht se “ghazaal”
aankhen badi haseen theen, chehra bada buland
|
Author : Kalim Akhtar |
|
Khaab ko din-ki shikasto'n ka madaawa na samajh,
Neend-per takya na kar,shab-ko maseeha na samajh.
|
Author : Saaqi Faruqui |
|
Raat keya soye ki saari umr kee neend URh gayee,
Khwab kiyo'n dekha ke dhardh ka lag geya taabeer kaa. |
Author : Ahmad Firaz |
|
lamhaa lamhaa terii yaadeN jo chamak uThtii haiN
aisaa lagtaa hai ke uRte hu’e pal jalte haiN
mere KhvaaboN meN ko’ii laash ubhar aatii hai
band aaNkhoN meN ka’ii Taj Mahal jalte haiN |
Author : Jan Nisar Akhter |
|
Bah raha tha eik dariya khwab meN
Rah gaya main phir bhi tishna khwab meN
Ji raha ahuN aur dunya meN magar
Dekhta huN aur dunya khwab meN |
Author : Aalam Khurshid |
|
Mai'n hoo'n ik Khwaab magar jaagti ankho'n kaa "Ameer",
Aaj bhi log 'de na mujhe kal ki tarah .
|
Author : Ameer Kazabash |
|
Apane Khvabo'n Mei'n Tujhe Jis Ne Bhi Dekha Hoga,
Ankh Khulte Hi Tujhe Dhondhane Nikla Hoga.
|
Author : Abbas Daana |
|
Shab ko kisi ke khwab mei’n aaya na ho kahi’n,
Dukhte hai’n aaj us but-e-naazuk badan ke paao’n.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Tuk dekh aa’nkhe’n khol ke us dam ki hasratei’n,
Jis dam yeh soojhegi ke yeh aalam bhi khwab tha.
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Chhora na raaz koi jahaan-e-kharaab ka,
Sab kah gaya mai’n khwab mei’n afsana khwab ka.
|
Author : Jigar |
|
Mujhe dhoka na deti ho’n kahi’n tarsi hui aankhe’n,
Tumhi’n ho saamne ya phir wohi tasweer-e-khwab aai.
|
Author : Anand Narain Mulla |
|
Aankhe’n khuli tau jaag uthie’n hasrate’n tamaam,
Usko bhi kho diya jise paaya tha khwab mei’n.
|
Author : Siraj Aurangabadi |
|
Ta phir na intezaar mei’n nee’nd aae umr bhar,
Aane ka ahd kar gaye, aae jo khwab mei’n.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Ta phir na intezaar mei’n nee’nd aae umr bhar,
Aane ka ahd kar gaye, aae jo khwab mei’n.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Tha khwab mei’n khayaal ko tujh se muaamla,
Jab aankh khul gai, na zayaan tha, na sood tha.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Iltefaat-e-yaar tha ik khwab-e-aaghaaz-e-wafa,
. Sach hua karti hai’n in khwabo’n ki taabeere’n kahi’n
|
Author : Hasrat Mohani |
|
Ishq mei’n ji ko sabr-o-taab kahaa’n,
Us se aankhei’n lari’n, tau khwab kahaa’n!
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Ik na tamaam khwab mukammal na ho saka,
Aane ko zindagi mei’n bahut inqilaab aaye.
|
Author : Andaleeb Shadani |
|
Hai ghaib-e-ghaib, jisko samajhte hai’n hum shahood
Hai’n khwab mei’n hanooz, jo jaage hai’n khwab mei’n.
|
Author : Mirza Ghalib |
|