donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KITAB
Thi kitab-e-zeesht varaq varaq koi silsila hi nahi mil saka
Kisi zaat ka kisi naam se koi rabta hi na mil saka
Author : Noor Jahan Sarwat

Khuli-kitab thi phooi'n-bhari zamee'n meri,
Kitab meri thi, rang-e-kitab uska tha.
 
                      
Author : Wazir Agha

Chhote bachcho'n ke haatho'n ko
chaand-sitaare chhoone-do!
Chaar-kitaabei'n padh-kar ye-bhi
hum-jaise ho-jaayenge.
Author : Nida Faazli

Haqeeqato'n ke shehr ki hikaayate'n kuchh aur thee'n,
Kamaal thaa, ke hum faqat kitaab mei'n magan rahe.
Author : Shahid Jameel

Kabhi kitabo’n mai,n phool rakhna 
kabhi darakhto’n pe nam likhna 
hamai,n bhi hai yad aaj tak wo 
nazar se harf-e-salam likhna 
Author : Hasan Rizvi

Mayassar ho jo lamha dekhne ko,
Kitabo’n mai’n hai kya kya dekhne ko,
Hazaaro’n qad-e-aadam aaine hai’n,
Magar tarsoge chehra dekhne ko.
Author : Azher Inayeti

Woh ajab gharhi thi mai’n jis gharhi liya dars nuskha-e-ishq ka,
Ke kitaab aqi ki taak mei’n joo’n dhari thi teo’nhi dhari rahi.
Author : Siraj Aurangabadi

Mujhko shaair na kaho, Mir, ke sahib mai’n ne,
Ranj-o-ghum laakh jama kieye tau ik diwaa’n kiya.
Author : Mir Taqi Mir

Mujhko shaair na kaho, Mir, ke sahib mai’n ne,
Ranj-o-ghum laakh jama kieye tau ik diwaa’n kiya.
Author : Mir Taqi Mir

Maktab-e-ishq ke dastoor nirale dekhe,
Usko chhutti na mili, jis ne sabaq yaad kiya.
Author : Unknown

Hum ne awwal se parhi hai yeh kitaab aakhir tak,
Hum se poochhe koi hoti hai mohabbat kaisi.
Author : Hali

Kisi ko bhi nahi’n fursat jo in se hazz utha paae,
Kitabon mei’n pari hai’n band ab tak kitni tahreerei’n.
Author : Maikash Kaashmiri

Kidhar se barq chamakti hai, dekhe’n, ai waaiz!
Main apna jaam uthaata hoon, tu kitab utha!
Author : Jigar

 
Total Visit on KITAB : 772