donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
LAB
Zara tar kiya humne sookhe labon ko
bayaabaan mein aab-e-karam dekhte hain
Author : Kalim Akhtar

Bahut kaseef gham-e-rozgaar hai, warna
labon ke lams mein rakkha hai sar khushi ka namak
Author : Kalim Akhtar

Maaloom nahi’n kya hai lab-e-surkh-e-butaa’n mei’n,
Is aattishe-khaamosh ka hai shor jahaa’n mei’n.
Author : Mir Taqi Mir

Lal-e-khamosh apne dekho ho aarsi mei’n,
Phir poochhte ho hans kar mujh be-nawa ki khwahish.
Author : Mir Taqi Mir

Naazuki uske lab ki kya kahiye,
Pankhri ik gulab ki si hai.
Author : Mir Taqi Mir

Lab tire lal-e-naab hai’n dono’n,
Par tamaami itaab hai’n dono’n.
Author : Mir Taqi Mir

Apne tau ho’nt bhi na hue uske roobaroo,
Ranjish ki waja Mir kya baat ho gai.
Author : Mir Taqi Mir

Un labo’n ne na ki maseehaai,
Hum ne sai’ sau tarah se mar dekha.
Author : Mir Taqi Mir

Mar gaya sadma-e-yak jumbish-e-lab se Ghalib,
Naatawaani se woh hareefe-dam-e-Isa na hua.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on LAB : 977