donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
MAJNUN
Marg-e-Majnu’n pe aql gum hai, Mir,
 Kya diwane ne maut paai hai!
Author : Mir Taqi Mir

Ghazalaa_n tum tau waqif ho, kaho Majnu_n ke marne ki,

Diwana mar gaya aakhir ko weeraano_n pe kya guzri.

Author : Unknown

Mai’n ne Majnu’n pe larakpan rnei’n, Asad,
Sang uthaya tha ke sar yaad aaya.
Author : Mirza Ghalib

Dil tarpe hai,jaan khape hai, haal jigar ka kya hoga,
Majnu’n, Majnu’n, log kahe’n hai’n, kya Majnu’n hum sa hoga.
Author : Mir Taqi Mir

Tum ko bhi hum dikhaae_nge Majnu_n ne kya kiya,

Fursat kashakashe-ghum-e-pinhaa_n se gar mile.

Author : Mirza Ghalib

Har ik makaa’n ko hai makee’n se sharf Asad,
Majnu’n jo mar gaya tau jungle udaas hai
Author : Mirza Ghalib

Majnu’n ne shahr chhora hai, sahra bhi chhor de,
Nazzaare ki hawas ho tau Laila bhi chhor de.
Author : Allama Iqbal

Nisbat kya in logo’n se humko, shahri ham deewaane hum,
Hai Farhaad ik aadam-e-kohi, Majnu’n ik sahraai hai.
Author : Mir Taqi Mir

Qayamat hai ke sun Laila ka dasht-e-Qais mei’n aana,
Taajjub se woh bola: ‘Yoo’n bhi hota hai zamaane mei’n”.
Author : Mirza Ghalib

Hamari daastaa’n mei’n zikr-e-Qais-o-Kohkan aaya,
Waha’n se phir hamari daastaa’n tak baat aa pahunchi.
Author : Hari Chand Akhter

Ek tha Majnu’n, aashiq-e-Laila, weerane mei’n maut hui,
Aur agar tafseel se poochho, yeh qissa toolaani hai.
Author : Firaq Gorakhpuri

Kabhi apna bhi nazzaara kiya hai tu ne ai Majnu’n!
Ke Laila ki tarah tu bhi tau hai mahmal nasheeno’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

Qais jungle mei’n akela hoga, mujhe jaane do,
Khoob guzregi mil baithe’nge jab deewaane do.
Author : Unknown

 
Total Visit on MAJNUN : 1943