donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
MANZIL
Agar mehnat mei'n kuchh akhlas bhi hai,
Toh, mil jaati hai manzil   gumrahi se.
Author : Monazir Aashiq Harganwi

Fiza subah-e-tabassum-e.bahaar thi lekin,
Pahu’nch ke manzil-e-jaanaa’n pe aa’nkh bhar aai.
Author : Firaq Gorakhpuri

Haa’n abhi door, bahut door mujhe jaana hai,
Alwida! ai mah-o-khurshid, ke hoo’n pa-ba-rakaab.
Author : Firaq Gorakhpuri

Kaun sitare chhoo sakta hai,
					Raah mei’n saa’ns ukhar jaati hai.
Author : Akhtarul Iman

Yeh mauj-e-pareshaa_n khaatir ko paighaam lab-e-sahil ne diya, 

Hai door wisal-e-bahar abhi, tu darya mei_n ghabra bhi

gai.

Author : Allama Iqbal

Yaaraan-e-tez gaam ne mahmal ko ja liya,
Hum mahw-e-nala-e-jars-e-kaarwaa’n rahe.
Author : Hali

                                    Mil hi jaaegi kabhi manzil-e-Laila, Iqbal,
					 Koi din aur abhi baadia paimaai kar.
Author : Allama Iqbal

Laakho’n hi musaafir chalte hai’n, manzil pe pahunchte
Hai’n do ek,
Ai, ah1-e-zamaana qadar karo, nayaab na ho’n, kaamyaab
Hai’n hum.
Author : Shad Azeemabadi

Nairangi-e-sayaasat-e-dauraa’n tau dekhieye,
Manzil unhe’n mili jo shareek~e-safar na the.
Author : Unknown

Thak thak ke har ik gaam pe do chaar rah gaye,

Tera pata na paaei’n tau nachaar kya kare’n!
Author : Mirza Ghalib

Daaman jhatak ke manzil-e-ghum se guzar gaya,

Uth uth ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe.
Author : Sardar Jafri

 Kaat di yoo’n hum ne jazbi, raah-e-manzil kaat di,
Gir pare har gaam par, har gaam par sambhla kieye.
Author : Jazbi

Uqaabi rooh jab bedaar hoti hai jawaano’n mei’n,
Nazar aati hai unko apni manzil aasmaano’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

Ai jazba-e-dil jo  mai’n chaahoo’n, har cheez muqaabil aajaaey,
 Manzil ke lieye do gaam chaloo’n, aur saamne manzil aa jaae.
Author : Behzad Lucknavi

Manzile’n gard ki maanind uri jaati,
Wohi andaaz-e-jahaa’n-e-guzraa’n hai, ke jo tha.
Author : Firaq Gorakhpuri

 
Total Visit on MANZIL : 1813