donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
Miscelaneous Ashaar
Jiska tum puchte ho wo mar gaya ?FARAZ?,
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya???.
Author : Ahmad Faraz

شہکار ہے پر خوبیٔ شہکار نہیں
احساسِ عمل جس کا کہ بیدار نہیں
ہر ایک ہنر اس کا ہے بیکار سم&#
Author : Mushtaq Darbhangwi

Tum ne aakar mizaaaj poochh liya 
Ab tabeeyat kahaN sambhalti hai
Author : Jalil Manikpuri

Yak-ba-yak le uThaa hamaara naam
Jee meiN kyaa uske aa gayaa hoga
Author : Meer Dard

Hai kuchh aisi hi baat jo chup hooN
Warna kya baat kar nahiN aati
Author : Mirza Ghalib

Takiye pe tere sar ka woh tippa hai paD.aa hai
Chaadar meiN tere jism kee woh saundhi si khushboo
HaathoN meiN mahaktaa hai tere chehare ka ehsaas
Maathe pe tere hoThoN kee mohar lagee hai
Author : GULZAR

Maikhaane ko ham chhoD. ke kaabe se gujarte
wo raah magar kahte haiN sunsaan bahut hai
Author : Wamiq Jaunpuri

Bichad ke tujh se voh aalam meri udaan ka tha
Ke main zameen ka raha aur na aasmanon ka tha
Author : Sayeeda Shan Meraj

Go inayat ki baarish mein bhigvaya lekin
Haq to yeh hai hai ke mera haq na barabar dekha
Author : Rashida Ayaan

Latafat hai phoolon mein nikhat ka rang
Yeh kya baagh ko, baaghban kar diya
Author : Aasma Saeedi

شب کو میرا جنازہ جائے گا یوں نکل کر 
رہ جائیں گے سحر کو دشمن بھی ہاتھ مَل کر 
روئیں گے دیکھ
Author : Qamar Jalalabadi

مجھی پہ ختم سب اپنے کمال کر دو گے 
یہی ستم ہیں تو کیا میرا حال کر دو گے 
بڑھا بڑھا کے جفائی¬
Author : Qamar Jalalabadi

agar hoon kachay gharoondoon mein admi abaad
tu aik abar bhi saylaab kay barabar hai

shakasta naoo hoo aur loag bhi shakasta hoon
tu aik lehar bhi gardaab kay barabar hai
Author : Obaidullah Aleem

phir ussay saya e divaar nay uthnay na diya
aa kay ik baar jo baitha tere divaar kay pass
Author : Obaidullah Aleem

reh gaya maqtool ki shaan e shahadat daikh kar
seena e shamsheer kay andar hee dam shamsheer ka
Author : Obaidullah Aleem

 
Total Visit on Miscelaneous Ashaar : 780