donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
NASHEMAN
Baghbaa’n ne aag di jab aashiane ko mire, 
Jin pe takia tha wohi patte hawa dene lage.
Author : Saqab Lucknavi

Quwwat-e-taameer thi kaisi khas-o-khashaak mei_n,

Aandhiaa_n chalti rahi_n, aur aashia_n banta gaya.

Author : Jaan Nisar Akhter

Koi yeh kah de gulshan gulshan, 
Laakh balaae’n, ek nasheman.
Author : Jigar

Agar kho gaya ik nasheman tau kya ghum,
 Muqamaat-e-aah-o-fughaa’n aur bhi hai’n.
Author : Allama Iqbal

Qanaait na kar aalam-e-rang-o-boo par, 
Chaman aur bhi, aashia’n aur bhi hai’n.
Author : Allama Iqbal

Nahi’n tera nasheman qasar-e-sultani he gumbad par, 
Thu shaahee’n hai, basera kar pahaaro’n ki chitano’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

Na poochho mujh se lazzat khaanmaa_n barbaad rahne ki,

Nasheman sainkro_n mai_n ne bana kar phoo_nk daale hai_n.

Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on NASHEMAN : 993