Wo khaD.e kahte haiN meri laash par
hum to sunte the ki neeNd aati nahiN |
Author : Taasshuq Lucknawi |
|
Wo meri neendo'n mei'n utray, toh kyun-na thak jaaye?
Mai'n apne khaabo'n-ke manzar badalta rahta hoon.
|
Author : Shahid Jameel |
|
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai
tere badan ki judaii bahut satati hai
tera bagair mujhe chain kaise padta hai
mere bagair tujhe neend kaise aati hai |
Author : Jaun Elia |
|
Nikhat-e-zulf se nindo’n ko basa de akar,
Meri jagi hoi rato,n ko sula de akar,
Kis qadar tira-o-tarik hai duniya meri,
Jalwa-e-husn ki ik shama jala de akar.
|
Author : Akhter Sheerani |
|
Hath mera ai meri parachai'n tu hi tham le,
Ek muddat se mujhe tu sujhata kuch bhi nahi,
Shahar e shab mai kaun sa ghar tha na di jis par sada,
Neend ke andhe musafir ko mila kuch bhi nahi.
|
Author : Zahoor Nazar |
|
Sar kahin, baal kahi’n, haath kahi’n, paaon kahi’n,
Unka sona bhi hai kis shaan ka sona, dekho.
|
Author : Hasrat |
|
Phir na aai neend us kambakht ko saari umr,
Teri zulfe’n jis ke baazoo par pareshaa’n ho gaie’n.
|
Author : Unknown |
|
Maut ka ek din muayyan hai,
Neend kyo’n raat bhar nahi’n aati.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Us ghari dekho unka aalam,
Neend se jab ho’n aankhe’n bhari.
|
Author : Asar Lucknawi |
|
Sauda teri faryaad se aankho’n mei’n kati raat,
Aai hai sahar hone ko, tuk tu kahi’n mar bhi.
|
Author : Sauda |
|
Ta phir na intezaar mei’n neend aaey umr bhar
Aane ka ahd kargaye, aae jo khwab mei’n.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Hoti nahi’n subah, na aati hai mujhko neend,
Jisko pukaarta hoo’n woh kahta hai, mar kahi’n.
|
Author : Sauda |
|
Taaro’n ka go shumaar mei’n aana mahaal hai,
Lekin kisi ho neend na aae tau kya kare?
|
Author : Afsar Meruti |
|
Bhala kyo’n na ho’n raato’n ki neendei’n beqaraar uski,
Kabhi lahra chuki ho jis pe zulf-e-mushkbaar uski.
|
Author : Akhter Sheerani |
|
Baalin pe jo Sauda ki gaya shor-e-qayaamat,
Khudaam-e-adab bole: abhi aankh lagi hai.
|
Author : Sauda |
|
Aaj aankho’n mei’n kaat le shab-e-hijar,
Zindgaani pari hai so lena.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Kis tarah kaate koi shabhaae taar-e-barshigaal,
Nazar hai khookarda-e-akhtar shumaari, haae, haae!
|
Author : Mirza Ghalib |
|