donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
QAFAS
Yaa Qafas ki bandisho.n me.n,apne baal-o-par bana,
yaa chaman waloN ke dil me.n,pahle apna ghar bana.
Author : Manzar Hussain Akber

Maana ke fikr-e-barq-o-ghum-e-baaghbaa’n nahi’n,
Phir bhi qafas, qafas hi tau hai, aashia’n nahi’n.
Author : Raza Quraishi

Kaisa chaman ke hum se aseero’n ko mana hai,
Chaak-e-qafas se bagh ki deewaar dekhna.
Author : Mir Taqi Mir

Awwal tau qafas ka mere dan baaz kaha’n hai,
Aur ho bhi tau yahaa’n taaqat-e-parwaaz kaha’n hai.
Author : Mushafi

Nai tir kamaa’n mei’n hai, na sayyaad kamee’n mei’n,
Goshe mei’n qafas ke mujhe aaraam bahut hai.
Author : Mirza Ghalib

Qaid mei’n itna zamaana ho gaya,
Ab qafas bhi aashiaana ho gaya.
Author : Hafeez Jaunpuri

Khud apna zauq-e-aseeri hai paao’n ki zanjeer,
Hazoor aapke zulfo’n ke kham ki baat nahi’n.
Author : Mir Taqi Mir

Qafas ki teelion mei’n jaane kya tarkeeb rakhkhi thii,
Ke har bijli qareeb-e-aashia’n maaloom hoti hai.
Author : Seemab Akberabadi

Aseerane qafas ki kya tabiyat mei’n ubhaar aaye
Asgar aati nai sehan bagh mei’n fasle bahaar aaye
Author : Kalim Aajiz

Chamak jugnu ki barq-e-be amaa’n maaloom hoti hai,
Qafas mei’n rah ke qadr-e-aashia’n maaloom hoti hai.
Author : Seemab Akberabadi

Kuchh qafas ki teelio’n se chha’n raha hai noor sa,
Kuchh fiza, kuchh hasrat-e-parwaaz ki baate’n karo.
Author : Firaq Gorakhpuri

Ai saaknaan-e-kunj-e-qafas! subah ko saba,
Sunte hai’n jaaegi soo-e-gulzaar, kuchh kaho. 
Author : Sauda

Chaman mei’n ghaarat-e-gulchee’n se jaane kya guzri,
Qafas se aaj saba be qarar guzri hai.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Qafas mei’n mujh se roodad-e-chaman kahte na dar humdam,
Giri hai jis pe kal bijli, woh mera aashia’n kyo’n ho.
Author : Mirza Ghalib

Is saraab-e-rang-o-boo ko gulistaa’n samjha hai tu,
Ah, ai nadaan qafas ko aashiaa’n samjha hai tu.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on QAFAS : 975