donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
QATL
 yaas ke qatl mei'n hai khana kharaabi muzmer,
 dekh qurb-e- rag-e- gardan hai Thikaana teraa.
Author : YAAS BIHARI

Qatl ki jab usne di dhamki mujhe ,
Kah diya mai ne bhi dekha jayega ,
Pbhi le do ghoont zahid pi bhi le ,
Maikde se kon pyasa jayega .
Author : Bekhud Dehlvi

Na daman pe koi chinT na Khanjar pe koi daagh,
Tum qatl karo ho ke karamat karo ho.
Author : Kalim Aajiz

Bachte nahi’n muwakhza-e-roz-e-hashar se,
Qaatil agar raqeeb hai, tau tum gawaah ho.
Author : Mirza Ghalib

Nazar na lage kahi’n uske dast-o-baazoo ko,
Yeh log kyo’n mire zakhm-e-jigar ho dekhte hai’n.
Author : Mirza Ghalib

Jazba-e-be ikhtiaar-e-shauq dekha chaahieye,
Seena-e-shamsheer se baahar hai dam sharnsheer ka.
Author : Mirza Ghalib

Marne ki, ai dil aur hi tadbir kar he mai’n,
Shayaan-e-dast-eo-baazoo-e-qaatil nahi raha.
Author : Mirza Ghalib

Hum kahaa’n qismat aazmaane jaae’n,
Tu hi jab khanjar aazma na hua.
Author : Mirza Ghalib

Ki mire qatl ke baad usne jafa se tauba,
Haae! us zood-pashemaa’n ka pashemaa’n hona.
Author : Mirza Ghalib

Hum aah bhi karte hai’n tau ho jaate hai’n badnaam,
Woh qatl bhi karte hai’n tau charcha nahi’n hota.
Author : Akber Allahabadi

 
Total Visit on QATL : 1170