donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
QISMAT
Meri kismat meiN gham gar itna tha
Dil bhee ya rab kai diye hote
Author : Mirza Ghalib

Ye kis hisaab-se kee tu-ne roshni taqseem?
Sitaare mujh-ko milay, maahtaab uska thaa.
                     
Author : Wazir Agha

'Razia' moti rolti,'Radha'khele dhool,
Jis-ki jitni odhni, utne  us-ke phool.
                      
Author : Shahid Jameel

Qismat buri sahi pe tabiat buri nahi’n,
Hai.shukr ki jagah ke shikaait nahi’n mujhe.
Author : Mirza Ghalib

Qismat se hi laachaar hoo’n, ai Zauq wa-garna,
Har fun mei’n hoo’n mai’n taaq, mujhe kya nahi’n aata.
Author : zauq

Qismat ki khoobi dekhieye, tooti kahaa’n kamand,
Do chaar haath jab ke lab-e-baam rah gaya.
Author : Dagh

Jahaa_n shatranj, baazinda falik, hum tum hai_n sab muhrey,

Basaan-e-shaatar-e-nau, zid use muhro_n ki zad ki hai.

Author : Mir Taqi Mir

Jahaa_n shatranj, baazinda falik, hum tum hai_n sab muhrey,

Basaan-e-shaatar-e-nau, zid use muhro_n ki zad ki hai.

Author : Mir Taqi Mir

Naadaan ho jo kahte ho kyo’n jeete ho Ghalib,
Qismat mei’n hai marne ki tamanna koi din aur.
Author : Mirza Ghalib

Woh be-wafa kahe mujhe jis se wafa karoo’n,
Main badnaseeb apne muqaddar ka kya karoo’n.
Author : Unknown

Kisi ki naao ko toofaa’n ne gharq-e-aab kiya,
Kisi ki naao kinaare isi bahaane lagi.
Author : Jameel Mazhari

 
Total Visit on QISMAT : 904