donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
RAAT
Abhi to aankh ladi hai, zara thahar jaao
haseen raat padi hai, zara thahar jaao
Author : Kalim Akhtar

Raat bhar bunta raha Khwabon ko main jiske liye
rah gayee khaamosh woh raaton kee raani saamne
Author : Kalim Akhtar

Shor tha, khamoshi thee, wasl tha, judaayee thee
raat kis musibat mein pad gayee parindon kee
Author : Kalim Akhtar

Shoala -badan hai karb kee garmi shab-e-firaaq
tapti, jhulasti raat hai, koi ghazal kaho.
Author : Kalim Akhtar

Sozish tha, chubhan tha, to kabhi shoala shabi tha
kiya bolun ki kis rang mein tha raat ka bichchhoo
Author : Kalim Akhtar

Khwabon mein raat aaya tha kis dasht se “ghazaal”
aankhen badi haseen theen, chehra bada buland
Author : Kalim Akhtar

Shabnam, sharar, ki barq thee tere badan ki aag
kis kis libaas mein thee sajan! raat, tan ki aag
Author : Kalim Akhtar

Yoon kashmakash mein raat hamaari guzar gayee
maine kaha nahin, kabhi usne kaha nahin
Author : Kalim Akhtar

Shab-e-firaq uThe dil meiN aur bhi kuchh dard
KahooN maiN kaise teri yaad raat bhar aayee
Author : Firaq Gorakhpuri

Woh bhi raaton ko meri tarah na sota hoga
Usko bhi doori ka ehsaas to hota hoga
Author : Kishwar Ara Shabnam

Raat bhar tanha raha, din bhar akela main hi tha...
Sheher ki aabadiyon main apne jaisa main hi tha...

Main hi dariya,main hi toofan main hi tha har mauj bhi...
Main hi khud ko pee gaya, sadiyon se pyasa main hi tha.

Kis liye katra ke jata hai musafir dam to le...
Aaj sukha hu magar, kal tera saya main hi tha...

Meri dhadkan sunne wala dil na tha duniya ke paas...
Sabki aahat, sabki dhadkan sunne wala main hi tha...

Kitne jazbon ki nirali khushbuyein thi mere paas...
Koi unko ch
Author : Shirish Gontiya

Raat kae pichlae pehrr, chaand kis ki talaash main hae,
Jaisae koi piyasa badal, saaawan ki talassh main hae, 
Tanhai ki suunsan ratein aur ankhon main bheegae lamhaat,
Teri yaad ki riazat, ikk aur rat-Jaggae ki talash main hae.
Author : Iftikhar Chaudri

Har rang moattal hai,
Raat ke  deewaano!
Ye shaam-e-musalsal hai.
Author : Shahid Jameel

aur ko_ii dam kii hai mehamaa.N guzar jaayegii raat,
Dhalte Dhalte aap apnii maut mar jaayegii raat.
Author : Soroor Barabankvi

  Aaj Ki Raat Bhi Guzari Hai Meri Kal Ki Tarah,                         
Haath aaye na sitare tere anchal ki tarah ,
Rjalati hui ik aisi chita hai jis par, 
Teri yade'n hai'n sulagate huye sandal ki tarah .
Author : Ameer Kazabash

Suhaani raat hai, chhatke hue sitaare hai’n,
Sakoot-e-neem shabi ke lateef ishaare hai’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Tu kahaa’n jaaegi, kuchh apna thikana kar le, 
Hum tau kal khwab-e-adam mei’n shab-e-hijraa’n ho’nge.
Author : Momin

Woh aaiam aur hi hai jis mei’n meethi neend aajaae, 
Khushi aur ghum mei’n sone ke lieye raate’n nahi’n hotee’n. 
Author : Firaq Gorakhpuri

Samajh kuchh raaz husn-o-ishq ke shabhaae hijraa_n mei_n,

Ke rone ke lieye yeh dukh bhari raate_n nahi_n hotee_n.

Author : Firaq Gorakhpuri

Chhirte hi ghazal barhte chale raat ke saae,
Aawaaz miri gaisu-e-shab khol rahi hai.
Author : Firaq Gorakhpuri

Khunak, seah, mahke hue saae, phail jaae’n hai’n jal thal ‘par,
Kin jatno’n se meri ghazle’n raat ka joora kholen hai’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Raat chali hai jogan ho kar baai sanwaare, lat chhatkaae,
Chhipe Firaq gagan par taare, deep bujhe, hum bhi sojaae’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Sauda teri faryaad se aankho’n mei’n kati raat,
Aai hai sahar hone ko, tuk tu kahi’n mar bhi.
Author : Firaq Gorakhpuri

Ab daur-e-aasmaan hai, na daur-e-hayaat hai,
Ai dard-e-jigar tu hi bata kitni raat hai.
Author : Firaq Gorakhpuri

Woh shab-e-mah, tum baghal mei’n, haath mei’n
jaam-e-sharaab,
Dil mei’n utri thi gulabi chaandni rukhsaar ki.
Author : Firaq Gorakhpuri

Waqt-e-gharoob aaj karaamaat ho gaie,
Zulfo’n ko us ne khol diya, raat ho gaie. 
Author : Firaq Gorakhpuri

Thei’n. binaat-ul-naash-e-gardoo’n din ko parde mei’n nihaa’n,
Shab ko un ke ji mei’n kya aai ke uriaan ho gaie’n.
Author : Mirza Ghalib

Har lamhe pe hota hai, saaya abdeeat ha,
Ik raat mohabbat ki ik raat nahi’n hoti.
Author : Firaq Gorakhpuri

 
Total Visit on RAAT : 1121