Thahra gaya hai la ke jo manzil mei’n ishq ki,
Kya jaane rähnuma tha, ke rahzan tha, kaun tha.
|
Author : Aagha Sharf |
|
Thahra gaya hai la ke jo manzil mei’n ishq ki,
Kya jaane rähnuma tha, ke rahzan tha, kaun tha.
|
Author : Aagha Sharf |
|
Yeh rahbar hai’n kisi ko ba khabar hone nahi’n dei’nge,
Guzar jaaegi shab, lekin sahar hone nahi’n dei’nge.
|
Author : Ahmad Nadeem Qasmi |
|
Rah-e-ghurbat mei’n apna zor paa-e-naatwaa’n tak hai,
Magar iska bharosa kya hai, yeh bhi hai jaha’n tak hai.
|
Author : Natiq Galawathi |
|
Hazaaro’n khizar paida kar chuki hai nasl aadam ki,
Yeh sab tasleem lekin aadmi ab tab bhatakta hai.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Kya kiya Khizar ne Sikander Se,
Ab kise rahnuma kahe koi.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Chalta hoo’n thori door har ik tez rau ke saath,
Pahchaanta nahi’n hoo’n abhi rahbar ko mai’n.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Taqleed ki rawish se tau behtar hai khud-kashi,
Rasta bhi dhoond, Khizar ha sauda bhz chhor de.
|
Author : Allama Iqbal |
|