donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
RANJ-O-GHUM
Sab ghum-ke tamaashe hai'n,
Khush hoo'n usi dukh per,
Kyaa she'r taraashe hai'n!
Author : Shahid Jameel

Ye kya  ke ghum-ka samundar utar pade dil-mei'n,
Khushi-ki boond bhi ho toh chhalak-ke rah jaaye.
Author : Mohammad Alvi

Qaum ke ghum mei'n dinner khaate hai'n
hukkaam ke saath,
Ranj leader ko bahut hai,magar aaram ke saath.
Author : Akber Allahabadi

Kissi-ke paas rahoon toh kissi-ki yaad aaye,
Mai'n abki-baar ye ghum bhi uthaane-walaa hoo'n.
Author : Shahid Jameel

WO KISI MUFLIS KA GHAR THA JIS K DERWAZAY SAY KAL,
RANJ-O-GHAM KI BHEER SAY DARR KER KHUSHI JATI RAHI
Author : Saami Aejaz

Apna ghum bhool gaye teri jafa bhool gaye 
hum to har bat mohabbat ke siwa bhool gaye 
hum akele hi nahi pyar ke diwane sanam 
ap bhi nazrain jhukane ki ada bhool gaye 
ab to socha hai ke daman hi tera thamenge 
hath jab humne uthaye hai’n dua bhool gaye 
shukr samjho ya ise apni shikayat samjho 
tum ne wo dard diya hai ke dawa bhool gaye 
Author : Farukh Qaiser

Kaati hai Ghum ki a bare ehtaram , 
aksar bujha liya hai chirago’n ko sham se, 
roshan hai apni bazm aur is ehtamam , 
kuch dil bhi jal rahe hai’n chiragho’n ke nam se. 
Author : Ali Ahmad Jalili

Wo gul farosh kaha’n? ab gulab kis se loo’n
Nahi raha mera saqi sharab kis se loo’n
Teri talash mei’n is umr-e-mosto’ar ke sal
Jo rayegai’n gaye un kaa hisab kis se loo’n
Author : Anwer Shaoor

Tumhare Ghum ka mausam hai abhi tak, 
Lab-e-tashna pe shabnam hai abhi tak, 
Safar mai’n abale hi abale the, 
Magar pairo’n mai’n dam kham hai abhi tak .
Author : Anees Ansari

Chand ke sath kai dard purane nikale, 
Kitane Gham the jo tere Gham ke bahane nikale, 
Fasl-e gul ai phir ik bar asiran-e-vafa, 
Apane hi Khoon ke dariya mei'n nahane nikale. 
Author : Amjad Islam Amjad

Maikada Tha, Chandani Thi, Mai’n Na Tha, 
Ik mujassam bekhudi thi mai’n na tha ,
Ishq jab dam torata tha tum na the 
Maut jab sar dhun rahi thi mai’n na tha .
Author : Abdul Hamid Aadam

Mit jaaen zamaane se saraasar ghum-o-andoh,
Hona nahi’n aaya abhi insaan ko ghumgeen.
Author : Firaq Gorakhpuri

Ai Dard jiski aankh khuli is jahaan mei’n,
Shabnam ki tarah jaan ko apni woh ro gaya.
Author : Dard

Aalaam-e-rozgaar ko aasaan bana diya,
 Jo ghum hua use ghum-e-jaanaa’n bana diya.
Author : Asgher Gondvi

Na samjha Dard hum ne bhed yaa’n ki shaadi-o-ghum ka,
Sahar khandaan hai kyo’n, roti hai kis ko yaad kar shabnam.
Author : Dard

Ek hangama pe mauqoof hai ghar ki raunaq,
 Noha-e-ghum hi sahi, naghma-e-shaadi na sahi.
Author : Mirza Ghalib

Ghum raha jab tak ke dam mei’n dam raha,
 Dil ke jaane ka nihaait ghum raha.
Author : Mir Taqi Mir

Tool -e-ghum-e-hayaat se ghabra na, ai Jigar! 
Aisi bhi koi shaam hai, jiski sahar na ho.
Author : Jigar

Shaadi se ghum jahaan mei’n deh chand hum ne paya, 
Hai Eid ek din tau das din yahaa’n dahaa hai.
Author : Mir Taqi Mir

Yoo’n hi Firaq ne umr basar ki,
 Kuchh ghum-e-jaanaa’n, kuchh ghum-e-dauraa’n.
Author : Firaq Gorakhpuri

Sauda jo be-khabar hai, woh kare hai aish,
 Mushkil hai bahut unko, Jo rakhte hai’n aagahi.
Author : Sauda

Har subah ghumo’n mei’n shaam ki hai mai’n ne,
 Khoonaaba kashi madaam ki hai mai’n ne.
Author : Mir Taqi Mir

Dil mei’n phir giriya ne ik shor uthaya, Ghalib,
Aah, Jo qatra na nikla tha, so toofaa’n nikla.
Author : Mirza Ghalib

Hui jin se tawaqqo khastgi ki daad pane ki, 
Woh hum se bhi zayaada khasta-e-tegh-e-sitam nikle.
Author : Mirza Ghalib

Qaid-e-hayaat-o-band-e-ghum asal mei_n dono_n ek

hai_n,

Maut se pahle aadmi ghum se nijaat paae kyo_n.

Author : Mirza Ghalib

Ranj se khoogar hua insaa_n tau mit jaata hai ranj,

Mushkale_n itni paree_n mujh par ke aasaa_n ho gaie_n.

Author : Mirza Ghalib

Ho kar kharaab-e-mai tire ghum tau bhula dieya,
 Lekin ghum-e-hayaat ka darmaan na kar sake.
Author : Sahir

Mere rone ki haqeeqat jis mei’n thi,
 Ek muddat tak woh kaaghaz num raha.
Author : Mir Taqi Mir

Khanjar chale kisi pe, tarapte hai’n hum, Amir, 
Saare jahaa’n ka dard hamaare jigar mei’n hai.
Author : Ameer Minai

Meri qismat mei’n ghum gar itna tha, 
Dil bhi yaarab kai dieye hote.
Author : Mirza Ghalib

Aur mujh paas kya hai dene ko, 
Dekh kar tujh ko roey deta hoo’n.
Author : Wali

Hairaa’n hoo’n dil ko ro-oo’n ke peetoo’n jigar ko mai’n,  
              ‘Maqdoor ho tau saath rakhu’n noha gar ko mai’n.
Author : Mirza Ghalib

Giriya nikale hai teri bazm se mujh ko, 
Haae ke rone pe ikhtiaar nahi’n hai.
Author : Mirza Ghalib

Jo is shor se Mir rota rahega, 
Tau humsaaya kaahe ko sota rahega.
Author : Mir Taqi Mir

Mujhe kaam rone se har dam hai, naasih, 
Tu kab tak mire munh ko dhota rahega.
Author : Mir Taqi Mir

Raat aadhi se zayaada gai thi, saara aalam sota tha, 
Naam tira le le kar koi, dard ka maara rota tha.
Author : Firaq Gorakhpuri

Ghum agarche jaangusai hai, pe kaha_n bache_n ke dil

hai,

Ghum-e-ishq gar na hota, ghum-e-rozgaar hota.

Author : Mirza Ghalib

Rone se ai nadeem mulaamat na kar mujhe,
 Aakhir kabhi tau uqda-e-dil waa kare koi!
Author : Mirza Ghalib

Shauq ko yeh lat ke har dam naala kheincha chaaheye,
 Dil ki woh haalat ke dam lene se ghabra jaae hai.
Author : Mirza Ghalib

Naghmahaae ghum ko bhi ai dil ghaneemat jaaneye,
 Be-sada ho jaaega yeh saaz-e-hasti ek din.
Author : Mirza Ghalib

Kahte hai’n paida hui hai har dard ki dawa, 
Yoo’n ho tau chara-e-ghum-e-ulfat ki kyo’n na ho.
Author : Mirza Ghalib

Jeete ji hum tau ghum-e-farda ki dhun mei_n mar gaey,

Kuchh wohi achhe hain jo waaqif nahi_n anjaam Se.

Author : Shad Azeemabadi

Dam-e-zindagi, ram-e-zindagi, ghum-e-zindagi, sim-e-zindagi,
 Ghum-e-ram na kar, sim-e-ghum na kha, ke yehi hai shaan-e-qalandri.
Author : Allama Iqbal

Maut ka nuskha abhi baqi hai, ai dard-e-firaq,
Chaara gar deewaana hai, mai’n Ia dawa kyo’nkar hua.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on RANJ-O-GHUM : 3151